10-07-2005, 07:46 PM
!!...Bundaan Miyaan...!!
Bundan miyaan humaray mazi kay sathee hoon na hoon.. magar bohat arsa saye ke tarhaan sath sath rehay.. Shairi kay dil dadaah hain.. aur Iqbal say khaas raghbaat rakhtay hai... IqBal say lagao ke wajaah un ke shairi qut'an nahi.. haan magar IqBal hai... IqBal in ke majbori howa karta tha magar ab wajaah e shohraat banta jaa raha hai... In kay IqBal say jitnee sinf e nazuk nalaan hain yeah uss pay utnay hee naazaan hain.. Sinf e Nazuk say utnay hee rujhaoo say baat kartay hain jitnay tanaoo say sinf e nazuk in say.. Hama waqat inkay asaab tanaoo ka shikaar rehtya hain..
Bachpan say hee do cheezain humaisha sath rakhtay thai...! aik machis aur dosri tail ke bottel.. Machis kissi bandar say cheeni hoi nahi hai.. Waisay yeah machis say jalanay kay bajaye sulganay ka kaam laitay hain.. aur aksar sulagtay howay paye jaatay hain.. In kay chahnay wallooon ke poori koshish yeahi hai kay machis say in ka peecha churaya jaa sakay.. magar umeed yeahi hai kay yeah chahnay walloon kay bass ke baat nahi haan magar chahnay wali hoo tu kuch kaha nahi jaa sakta..!!
Goo kay yeah kaheen say bhi taili nahi hain.. magar tail ke bottel in ke bachpan ke zarooriyaat mein say aik hai.. Yeah koi aisee achunbhay wali baat nahi hai.. Faqat itna hai kay in ke Maa jee ka khayaal hai kay sar mein jitna tail ziada hoo ga utnee dimaaghi machinery sahee challay gi.. goya in kay sar mein chooti chooti mooriyaan hain jo in kee dimaghee khadee ko tail fraham karti hain.. Pichlay dinoon UAE kay aik kafeel ke badoolat yeah tail mein khud kafeel hoo gaiye thai.. un dinoon tail ke bottel rakhna chooor diya tha, kiyon kay tail wallay sheikhoon nay in ko sath rakhna shuroo kar diya tha...!!
Pichlay donoon UAE say Lahore wapsi ka safar kiya, rastay mein kam hawa kay dabaoo ke wajaah say inkay dimaagh pay kaafi gehray asar paray.. shaid yadaasht bhi ussi wajaah say jaati rahi.. aab tu kaafi chahrooon ko bhee bhooltay jaa rahay hain.. jahaazoon say in dilchaspee bohat purani hai.. zamana e talib'ilmi mein imtahani parchon kay jahaaz bana kay uraya kartay thai.. phir thooray baray howay tu jo milta ussay kehtay mujhay jahaaz pay sair karwaoo.. aab khudh lahore kay gali kochoon mein jahaaz uratay nazar aatay hain.. Daikhnay wallay tu inko ab jahaaz hee kehtay hain.. !
Bundan Miyaan bachpan mein apni amma ke ankh ka tara howa kartay thai.. iss liyeah in ke Maa Jee nazar e bud say bachanay kay liyeah do kaam khaas ehtamaam say kiya karti theen.. aik tu in ke ankh ko surmay say iss kadar bhar diya karteen kay lagta jaisay chahray pay kanoon kay bajaye surmay ke kaan hoo.. jis mein say surma behta behta ankhoon tuk jaa pohancha hai. aur aisay mein agar kabhi Bundan Miyaan roo parain tu yeahi surma chahray pay aisay naqash o nigaar banata tha gumaan hoota tha.. jaisay koi Makhloot Brownish Black Zebra hoon Nazar e bud say bachanay kay wastay dosra kaam yeah kiya jaata kay Bundan Miyaan ko Aaina na daikhnay diya jaata.. !! (Aaina tu yeah ab bhi nahi daikhtay.. kehtay hain mujhay laaja aa jati hai.. yeah ab janay dijiyeah kay kahay pay aati hai) haan magar in ka surma itna nikal chuka hai kay ab surmay ke jagaah aik aynak nay lay lee hai..!! Aynak Ayanak walla JIN say inspired lagti hai.. Magar haal hee main Ayanak walla JIN nay bayaan diya hai kay agar woh in ko pehlay daikh laitay tu Aynak walla Bundan Miyaan bananay ko tarjeeh daitay..!!
Magar kuch kehnay wallay kehtay hain bundan miyaan baray hee shareef hain.. yahaan pay in ka Rishta Babra Shareef ya Nawaz Shareef ya aik aur Nasal e Iqtadaar say joorna maqsood nahi hai.. magar sawaal yeah hai kay kahaan say.. ? Iss sawal ka jawab phir kabhi kay liyeah utha rakhtay hain.. !!
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~