Hallagulla - Virtual Home for Real People
Urdu writer - Abdul Basit - Printable Version

+- Hallagulla - Virtual Home for Real People (https://www.hallagulla.com:443)
+-- Forum: Urdu Adab (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=4)
+--- Forum: Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=790)
+---- Forum: UrduWorld Leading Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=80)
+----- Forum: Abdul Basit (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=721)
+----- Thread: Urdu writer - Abdul Basit (/showthread.php?tid=77704)

Pages: 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18


Urdu writer - Abdul Basit - Shokh - 10-01-2005

This is a reserved thread for Abdul Basit @};-















Urdu writer - Abdul Basit - Shokh - 10-01-2005

111111111111111111111111111111Test


Urdu writer - Abdul Basit - Shokh - 10-01-2005

- Mohabbat Kuch Nahi Hooti -

[Image: mohabbatkuchnahihoti.jpg]


Urdu writer - Abdul Basit - Shokh - 10-01-2005

[Image: Kuch-Larkiyaan.jpg]



Urdu writer - Abdul Basit - Shokh - 10-01-2005

Please view attachment @};-


Urdu writer - Abdul Basit - Shokh - 10-01-2005

Please view attachment @};-


Urdu writer - Abdul Basit - Shokh - 10-01-2005

Please view attachment @};-


Urdu writer - Abdul Basit - Shokh - 10-01-2005

[Image: 8bashir.gif]
[Image: 8bashir002.gif]
[Image: 8bashir003.gif]
[Image: 8bashir004.gif]
[Image: 8bashir005.gif]
[Image: 8bashir006.gif]


Urdu writer - Abdul Basit - Shokh - 10-01-2005

- Ghar -

Ghar...!! ussay kehtay hain jahaan raha jaata hai.. mein jahaan rehta hoon.. wahaan mairay saath bohat say loug hein.. mairay behtreen dost hein.. un say kahee kuch battain hain.. jo kich safhoon pay likh choori hein.. kuch tasveerain hain.. jin ko daikhta hoon tu barsoon purana waqat lout aata hai.. aur phir khamooshi mein janay kahaan say qehqahay goonjnay lagtay hain.. khoob lutaf aata hai.. aur haan mairay ghar mein bohat saari kitabbain bhi hain... jin ko parhta hoon tu woh battain jinhain laakh samajhnay ke koshish karain bhi tu samajh nahi aateen pal mein samajh aa jaati hain.. !!

In kay illawa mairay ghar mein aik dabba hai.. jis ko jab mein khoolta hoon tu aik aur ghar kay sehan mein utarta hoon mein jissay aap sab virtual home kehtay hain.. uss mein bohat say loug hein.. kuch khushboo say.. kuch pholoon jaisay.. kuch baad e saba jaisay.. kuch hawa jaisay... woh sab bhi mairay hee ghar ka hissa hain.. aur uss kay illawa mairay ghar mein aik aur bhi hasti hai.. woh hai mairee maa ke mairay behan bhaiyoon ke duain.. jo mujhay kaiyoon ke bad'duaoon say mehfooz rakhtee hain.. jab jab dil udaas hoota hai.. aur chahta hai in sab say chup jaoon tu bahir nikal jaata hoon sarkoon pay bazaroon mein.. lougoon kay hajoom mein mujh ko tunhaiyaan miltee hain.. sach kahiyeah tu jo tunhai mehfiloon mein milti hai woh kaheen aur nahi milla kartee... khair baat tu ghar ke hoo rahi thi.. aur ghar mein tu sab hee hain... aur in sab kay sath waqat bohat acha guzarta hai.. Smile



Urdu writer - Abdul Basit - Shokh - 10-01-2005

- Insaan Jo Thehray -


Dukh na hoon tu khushiyaan bhee apni kadar o qeemat khoo dain... har cheez ko apni pehchaan kay liyeah wastoon ke zaroorat parti hai.. rahat ke manziloon ko jatay rastoon pay kam hee makh'mal ka bichoona milta hai.. lehlahaatay khait bahar daynay say pehlay chat'yal maydaan howa kartay hain.. jab tuk hall na chalay, beej na beejay jayain.. faslain nahi ugteen.. phall nahi paktay.. Sab jaantay hain ... yeah koi nayee baat nahi magar janay kiyon kuch loug man'salwa ke umeed pay raha kartay hain... !!

Jab lahoo ko paseena na kiya .. jab banjar zameen ko naram na kiya uss ke abyaari na kee.. uss mein beej na booya.. fasal ke umeed kaisi.. aur kahay koo.. aur agar yeah sab bhi kiya aur kabhi barishain na hoeen.. kabhi hoeen tu had say guzar gaieen.. kabhi hawain moon zoor hoo gain.. paki faslain matee mein matee hoo ga'een ... tu iss mein gilla kaisa... Yeah tu rehmat hai RUB ke jo uss nay humain 4 din ke hayaati mein dard (jisay hum dard kehtay hain) dai kay uss humaisha ke hayaati ko sehal kar diya.. !!

Bani adam kay ikhtiyaar mein kab kuch hai.. woh tu upar walla hai jo chahay karay... azmata hai.. kabhi bin mangay dai kay.. aur kabhi payaas barha kay.. aur kabhi sab diya wapis lay kay.. aur yeah sab woh apnay bandoon kay sath apnay bandoon kay zariyeah hee karwata hai.. kabhi kissi ko kissi ka waseela bana daita hai tu kabhi kissi ko kissi ka.. kabhi dianay wallay haath ko lainay wallay mein badal daita hai... tu kabhi hathoon ko mati sona karnay ke taseer ata karta hai.. aisay mein kiss baat ka ghumand .. kiss baat ka shikwa.. !!

Zindagi hai.. guzar rahi hai guzar jani hai.. rukkay gi kahaan... do nuqtoon kay darmayaan kay safar mein hain.. palak jhapkain gai tu uss paar hoon gai.. kis moun say jain gai.. in dardoon ke dastaan sunain gai kaya uss kay darbaar mein.. yeah tu kuch bhi nahi hai.. kuch bhi tu nahi hai.. hum samajhtay hain humara gham hee sab say barh kay hai.. magar aisa hota nahi hai.. woh kabhi bhi himaat say barh kay boojh nahi daita... magar baray nadaan hein hum... zara sa dard uth'ta hai tu vavayla karnay lagtay hain.. shoor macha daitay hain... ah o faghaan say diloon ko hilla daitay hain... rayee ko pahaar bana daitay hain.. !!!

Hum insaan hain.. humara khameer hee shaid aisa hai.. tahee damaan hoon tu umeedoon say bhar laytay hain.... aur kuch mill jai tu asmaan pay charh baithtay hain... kissi cheez ko magar sabaat kahaan.... mohtaaji mazoori ik na ik din zaat kay darwaazay ko khat'khatatee hai... tu hum choonk uthtay hain... sab bhool jaatay hain.. matum shuroo kar daitay hain.. na'shukray ban jaatay hain.. ma'zoor hotay nahi.. mazoor ban baithtay hain.. jo milta hai uss say maseehaiee ke tawaqoo baandh laitay hain.. ... kitnay nadaan hain.. tavaqoo tu USS say karni thee.. mangna tu USS say tha.. yeah banday.. yeah tu khud mohtaaj hain.. yeah kab kissi ko kuch dai saktay hain.. yeah kab kissi say kuch lay saktay hain.. magar hum wajhain talaas'htay hain.. gumaan kartay hain... ilzaam laga daitay hain... gham barha laytay hain.. seenay pay saja laytay hain.. Insaan jo thehray...!!!

Gham baan'tnay kay liyeah nahi hotay shaid.. yeah jeenay ka saleeqa sikhaatay hain... gham tu sab sambhaal kay rakhtay hain.. sabhi ko apna gham sab say payara hota hai.... magar kaya kijiyeah... loug aksar issay khiloona bana laytay hain... lehjay pay mulama charha laytay hain... munafqat ka kashkool uthay dar dar chahatoon ke bheek mangnay lagtay hain.. kabhi jo na mura'ad hootay hain tu mut'asub hoo jatay hain.. kabhi divaaroon say sar phortay hain tu kabhi yaroon say dast o garibaan hotay hain....!!

Kaya karain pehchaantay nahi.. yeah dukh koi dukh nahi hain.. yeah khushiyaan khushiyaan bhi nahi hain.. khail hai sab kuch ghari ka.... abhi howa khatam kay abhi.. woh hai jis nay dooriyaan thaami hoi hain.... !! Sacha dukh uss ke yaad mein hai... !! Sachi khushi tu woh khushi hai.. jo noor ban kay millay gi.. woh daimee hai.. khayaal e yaar kay visaal say hai.. woh yaar jo andar basa howa hai.. per koun samjhay... Insaan jo thehray... !!

Yeah saari battain... Bay'kar battain.. choro inko.. kaya millay ga.. dukaan kholoo... sajaoo dukh ko.. lagaoo boleee.. wasool kar loo... qeemat in kee.. aur baich daloo.. anna ko apnee.. khudee ko apnee.. !!

Insaan Jo Thehray... Bus... Dukh yeahi hai.... !!