10-02-2005, 01:02 AM
~**... Qeemat ...**~
Ik Khawb Ko Sajaanay Mein.. Qeemat Jitnee Lagti Hai.. Uss Ko Chukanay Mein.. Poonji Saari Lagti Hai .. !!!
Khawb Kanch Say Nazuk Hain... Zara See Bay'Ehtiyaati Say...Kirchi Kirchi Hoo Jatay Hain.. Kirchi Kirchi Hoona Hee... Khawboon Ka Muqadar Hai..!!!
Maira Dil Bhi Ziddi Tha.. Iss Nay Thaan Rakhi Thee.. Laho Bahay Ya Jaye Jaan.. Ik Khawb Ko Sajana Hai.. Payaar Ko Nibhaana Hai.. Sab Rishtoon Ko Apnana Hai.. Par Iss Nay Kab Yeah Jana Tha... Ik Rishtay Ko Apnanay Mein... Kitnay Rishtay Martay Hein.. Sab Sangee Hee Bichartay Hein... Phir Us Rishtay Ko Nibhanay Mein... Khoof Seenay Mein Paltay Hein..!!!
Rishtoon Ke Kahaani Bhee.. Sadiyoon Hee Puraani Hai.. Khoon Ka Ho Ya Lafzoon Ka.. Zehar Tu Sab Ka Ik Sa Hai.. Wafa Ke Jo Kahani Hai.. Rishtoon Nay Kab Nibhaani Hai.. Dhoop Chaoon Kay Khail Mein.. Sab Ko Chaoon Hee Payaari Hai..!!
Rishtoon Ke Kahaani mein.. Saath Ko Nibhaanay Kay.. Jitnay Waaday Hootay Hain.... Qoos e Qazah Kay Rung Jaisay.. Dil Ko Yeah Lubhaatay Hain.. Apnee Aur Bulaatay Hain.. Par Un Kay Sahaaray Jab... Hum Door Safar Nikaltay Hain.. Tab Khabar Yeah Hooti Hai.. Wadoon Kay Iss A'asa Ko... Mas'Layhat Ke Deemak Nay.. Kab Ka Chat Khaya Hai.. Khook'la Kar Rakha Hai.. In Kay Sahaary Hum.. Kab Safar Kar Patay Hain.. Manziloon Ke Khawahish Mein.. Rahoon Mein Mar Jatay Hain...!!!
Khawb Magar Kab Martay Hain.. Uss Ghar Ko Bananay Kay.. Jiss Ghar Ko Bananay Mein.. Tamaam Umar Lug'tee Hai.. Jiss Ghar Ko Giranay Ko.. Aik Jhoonka Kaafi Hai..!!
Hum Nay Bhi Banaya Tha.. Sapnoon Say Sajaya Tha.. Kaya Kahain Aab Kaisa Tha.. Mohabbat Ka Gehwara Tha.. Khushiyoon Ka Ista'ra Tha.. Woh Ghar Jo Tumhara Tha.. Woh Ghar Jo Humara Tha.. Uss Ghar Ko Lagayee Aag.. Ghar Kay Charaghoon Nay..!!!
Raakh Pay Uss Ke Baitha Aaj.. Soochta Hoon Kiyon Banaya.. Iss Qadar Mohabbat Say.. Kaya Ik Khawb Ko Sajanay Ko ? Ya Ik Rishtay Ko Nibhaanay Ko ?
Iss Ghar Ke Baqa Ke Kaya ?
Ik Chingaari Qeemat Thee ?
Ik Chingaari Qeemat Thee ?
@};- @};- @};- @};- @};- @};- @};- @};- @};- @};-