10-01-2005, 09:35 PM
NET ke duniya bhi ajeeb hai.. rung rung kay loug bhaant bhaant ke boliyaan.. duniya kay charoon konoon say hazaar ha loug aik jagaah pay ikathay hotay hain.. sab apnay tae'een khud ko shehzada gulfaan aur qalo patra samajh rahay hotay hain... jab aik dojay say miltay hain tu tarhaan tarhaan ke kahaniyaan garhtay hain.. fasanay likhtay hain.. khawb buntay hain.. miltay hain.. aur phir bichar jaatay hain.. anjaam e kaar sab apnee apnee rah hoo laytay hain.. mein 1990s say internet ko istamaal kar raha hoon.. iss doraan hazaroon logoon say milnay ka ittefaq howa.. kuch bohat sheereen.. aur kuch bohat hee karway kaseelay... kuch aisay kay un ke pakeezgi daikh kay haya aa jaye aur kuch aisay kay un ka sochain tu karahat mehsoos hooti hai.. mein iss tehreer mein aisee hee chooti chooti kuch kahaniyaan bayaan karna chahoon ga.. yaqeenun yeah maira zaati tajurba hai.. aur mairee zaati raye hai.. 
mairee net say waqfiyaat mairee nokri ke zaroorat thi.. magar mujh ko net say mut'arif karwanay wali Amna theen.. mairee bohat hee payaree dost.. un say rishta daftaree tha.. magar woh mairee aik aisee dost hein... aik aisee shakhsiyaat hain.. jo mairay saath mairee tamaam umar rahain gi... kam say kam guzishta paanch saloon ke doori mein un say dilli rabat barha hee hai.. mairee chat ke duniya mein pehlee ID bhi un kee hee banaye hoi hai jo mein aaj tuk istamaal karta hoon.. magar aab woh sirf bohat hee makhsoosh logoon tuk mehdood hai.. aur waisay bhi aab mein chat bohat hee kam karta hoon.. khair sab say pehlay mein aamna ka taruf aap logoon kay sath share karta hoon.. aur phir koshish karoon ga kay go yeah aik Net Kahaani nahi hai.. kiyon kay yeah haqeeqi zindagi say shuroo hoi.. magar phir haqeeqat say nikal kay kissi aur hee cheez mein dhal gaiee..
(yeah aap mein say kuch dost shaid pehlay bhi parh chukkay hoon
as I did shared it a couple of year ago as well)

mairee net say waqfiyaat mairee nokri ke zaroorat thi.. magar mujh ko net say mut'arif karwanay wali Amna theen.. mairee bohat hee payaree dost.. un say rishta daftaree tha.. magar woh mairee aik aisee dost hein... aik aisee shakhsiyaat hain.. jo mairay saath mairee tamaam umar rahain gi... kam say kam guzishta paanch saloon ke doori mein un say dilli rabat barha hee hai.. mairee chat ke duniya mein pehlee ID bhi un kee hee banaye hoi hai jo mein aaj tuk istamaal karta hoon.. magar aab woh sirf bohat hee makhsoosh logoon tuk mehdood hai.. aur waisay bhi aab mein chat bohat hee kam karta hoon.. khair sab say pehlay mein aamna ka taruf aap logoon kay sath share karta hoon.. aur phir koshish karoon ga kay go yeah aik Net Kahaani nahi hai.. kiyon kay yeah haqeeqi zindagi say shuroo hoi.. magar phir haqeeqat say nikal kay kissi aur hee cheez mein dhal gaiee..


![[Image: amna.jpg]](http://www.hallagulla.com/urdu/photo/data/500/amna.jpg)