10-07-2005, 12:01 PM
/aoa
Pichlay dinoon yahaan ik banjaray aya.. aap mein say kuch nay uss ka likha parha.. jaatay jaatay woh apna sab mujhay day gaya.. qarz baaqi hai woh chukanay ke aik mamooli see kosh kar raha hoon.. @};-
Mehfiloon mein rehtay hain.. dukh ke battain kartay hain.. tunhai say dartay hain.. dard saja kay seenay pay.. shaam dhalay har mehfil mein.. hijar kay geet sunatay hain.. naam mohabbat ka lay lay kar... dil kay kooray kaghaz pay.. un'daikhay mehboob ke sourat.. har rooz ubhara kartay hain.. phir ik sohni ko man mohni ko.. pass bula kar hum apnay.. us sourat say milwatay hain.. woh shaam salooni sourat wali.. woh sohni mahiwaal koi.. jab khud ko uss mein takti hai.. uss pal mein jeenay lagti hai.. woh pal jo hoota hee nahi.. koun uss mein jee sakta hai.. woh laila hoo ya heer koi.. akhir ko mar jaati hai.. phir naam mohabbat ka hum lay kar.. amar kahaani likhtay hain.. uss amar kahaani mein aksar.. hum dasht ke battain kartay hain.. !!
Kaya dashat ko tum nay daikha hai.. ya qissay suntay rehtay hain.. bus naam he laytay rehtay hain... hum ko hai maloom kahaan.. sehra ke phailee woosat mein.. jab souraj utarnay lagta hai.. jab rait pighalnay lagti hai.. jab tapti dhoop ke chaoon mein.. saraab aa kay miltay hain.. sab khawb jalnay lagtay hain.. jisam bujhnay lagtay hain.. par shaam dhalnay say pehlay.. khawahish aas ka aasa taikay.. kaheen say aa jati hai.. woh khawb jo jal jaata hai.. uss khawb pay aa kay rooti hai..!!
Woh khawb jo aisi he mehfil mein.. tum jaisi hee ik sourat nay.. apni veeraan ankhoon say.. mousam e gul ke hasrat mein.. bari chahat say seenchay tha.. woh khawb tu kab ka jal bhi chuka.. laikin woh jo sourat thi.. jis nay uss ko daikha tha.. jis nay uss ke chahat mein.. dasht ka tunha safar kiya tha.. woh gar lout kay aya tu.. mushkil hai par aya tu.. woh iss mefil mein bhi aye ga.. tum daikhoo gai tu janoo gai.. laikin kahaan pehchano gai.. tum pochoo gai.. tu koun bata.. woh apna aap jo bhool chuka.. kaya naam bhala batlaye ga.. banjara he kehlaye ga.. tumhari baykaar batoon say.. uss ko wehshat hoo jaye gi.. woh chor tumhari mehfil ko.. lout dasht hee jaye ga.. tum ik dojay say pochoo gai.. uss ke sourat kaisi thi... dikhnay mein kaisa lagta tha.. woh battain kaisi karta tha.. kab hansta hai kab roota thai.. acha mein batlata hoon.. !!
Woh shakhas banjara naam hai jis ka.. Sar mein hijar ke rakh hai dallay.. ujray baal sayaah bakhat say jis kay.. hoont pay sadiyoon ke payaas jami hai.. ankhoon mein wehshaat naach rahi hai.... nangay paoon sajaaye challay.. janay kab say safar mein hain.. ha'atoon mein la'ik naseeboon wali.. apna aap dhoond rahi hai.. chaak garaibaan daikha hai uss ka.. pichlay barsoon mein ujree chahat ka.. afsana koi suna raha hai.. (haan waisa hee afsana.. jaisa tum bhi likhtay hoo..) par uss ke awaaz ke larzish mein.. tashna jazbay bool rahay hain.. uss nay hijar kay dashat mein tunha.. apna jeevan kaata hai....!
Tum mehfil mein rehnay wallay hoo.. kab daikhoo gai.. kab janoo gai.. deshat musafat say anaay wallay.. banjaray kehlanay wallay.. in qissoon mein jo likhtay ho... in khawboon mein jo buntay hoo.. Tum nay daikha hai ya nahi.. mein nay uss ko daikha hai.. mujh say uss nay battain kee hain.. jo tum say kahoon.. tum jhoot hee janoo.. choro uss ke batoon ko.. woh tu kab ka jaa bhi chukka.. iss mehfil say iss duniya say.. !!
Haan naam tha uss ka Banjara.. !!

~** ...Banjara... **~