10-07-2005, 11:56 AM
~**... Dukh ...**~
Dukh...!! na hoon tu khushi apni kadar o keemat khoo daiti hai.. har cheez ko apni pehchaan kay wastay kissi aas'ray ke kissi saharay kee.. kissi dosray wastay kee zaroorat hooti hai.. khushi ke, taskeen ke.. rahat ke manziloon ko jatay rastoon pay kam hee makhmal ka bichoona milta hai.. khall'yaan bahaar dainay say pehlay banjar zameen hoota hai.. jab tuk uss mein hull na chalaoo.. beej na beejoo.. faslain nahi ugteen.. phal nahi paktay.. magar jo faqat man salwa ke talash mein hoon.. nashukri ka mur'takab hotay hain.. jab tuk jisam kay lahoo ko paseena na kiya.. jab tuk uss banjar zameen ko naram na kiya jaye.. uss ke abyaari na kee jaye.. uss mein beej na booya jaye.. fasal ke umeed kaisi rakhni.. aur kahay koo.. aur agar yeah sab bhi kiya aur kabhi barishain na hoeen.. kabhi hoeen tu had say guzar gaieen.. kabhi hawain moon zoor hoo gain.. paki faslain matee mein matee hoo ga'een tu bhi nashukri kaisi.. Yeah tu rehmat hai uss RUB ke jo iss 4 din ke hayaati mein dard (jisay hum dard kehtay hain) dai kay uss humaisha ke hayaati ko sahal kar raha hai.. !!
Bani adam kay ikhtiyaar mein kab kuch hai.. woh tu upar walla hai jo chahay karay... azmata hai.. kabhi bin mangay dai kay.. aur kabhi payaas barha kay.. aur kabhi sab diya wapis lay kay.. aur yeah sab woh apnay bandoon kay sath apnay bandoon kay zariyeah hee karwata hai.. kabhi kissi ko kissi ka waseela bana daita hai tu kabhi kissi ko kissi ka.. kabhi dianay wallay haath ko lainay wallay mein badal daita hai... tu kabhi hathoon ko mati sona karnay ke taseer ata karta hai.. aisay mein kiss baat ka ghumand karain.. kiss baat ka shikwa karain.. guzar rahi hai guzar jani hai.. do nuqtoon kay darmayaan kay safar mein hain.. palak jhapkain gai tu uss paar hoon gai.. kis moun say jain gai.. uss kay darbaar mein kaya in dukhoon ke dastaan sunain gai.. yeah tu kuch bhi nahi hai.. kuch bhi tu nahi hai.. tavaqoo karni hai tu uss say karoo.. mangna hai tu uss say mangoo.. yeah banday.. mairay.. tumharay jaisay.. yeah tu khud mohtaaj hain mairee tarhaan tumharee tarhaan.. hum dono ke tarhaan.. yeah kab kissi ko kuch dai saktay hain.. yeah kab kissi say kuch lay saktay hain.. kiyon in say koi gilla rakhain... phir kis liyeah uss bat ka dukh karna jo mein nay sochi kay hoo aisay magar naa hoi..
Humdam humdard, dost uar sathi hain behlaway saray..
Koi kissi ka gham kaya bantay sab ko apnay payaaray..
Koi kissi ka gham kaya bantay sab ko apnay payaaray..
Sab ko apnay payaray.. haan sab ko apnay payaaray.. sach hai.. karwa hai.. halaq say nahi utarta.. aisay mein hum kashkool uthay.. mulama charhi mohabatoon ke.. bay'naam chahatoon ke bheek mangnay nikal partay hain.. na murad hootay hain tu roonay lagtay hain.. ilzaam dharnay lagtay hain.. kabhi divaaroon say sar phortay hain tu kabhi dast o garibaan hotay hain.. sahi kartay hain kaya.. ?
Humari auqaat he kaya hai.. kis cheez ke akar mein hain hum.. kaya kar lain gai hum.. kuch bhi tu nahi.. phir yeah sab kahay ko.. yeah dukh dukh nahi hain.. yeah khushiyaan khushiyaan nahi hain.. sab tamasha hai chand ghari ka abhi howa khatam kay tabhi.. woh hai jis nay dooriyaan thaam rakhi hain humari.... sacha dukh uss ke yaad mein apnay gunahoon kay pachtaway ka hai.. sacha zakham.. uss ke mohabaat mein bahay lahoo ka hai.. tu phir yeah kiyoon hum apnay badan ke kharashoon ko lay kay bazaar mein daam lagatay phirtay hain... kaya paa lain gai hum.. kaya mill jai ga.. kuch bhi tu nahi.. ik saraab mein hai hum...!! saraboon mein khoonay wallay kabhi kab ghar ko louta kartay hain.. kab manziloon ko paya kartay hain.. !! Sachi khushi ke bat karoo.. jo noor ban kay chahroon ko apnay ghairay mein lay laitee hain.. uss khushi ke baat karoo jo uss RAB kay hijar ka hai.. jo humaray andar hai.. jis say juda howay tu humarya andar yeah khalla aan basa hai.. jissay bharnay ko hum kabhi ik ka sochtay hain tu kabhi doojay ka.. Uss Rab say.. haan uss jis say milain gai tu mukamal hoon gai.. !!