10-07-2005, 11:08 AM
~**... Baanjh Mohabbat ...**~
Mohabbatain jab banjh hoo jaain.. tu in mein giraftaar loug pachtaoon ke lehroon pay hasratoon ke naoo ko bin patwar choor daitay hain.. hum nay daikha hai phir sahil nahi milta aur kashtiyaan doob jaati hain.. !!
Aab sahil ke tamana kis ko hai..!! par ghari woh kiyon nahi aati.. samandar kay gehray neelay paniyoon mein... jab hum ko doob jana hai.. aur in ankhoon mein rukay sab ansoon nay... jab apnay sahil ko pana hai.. !!