10-03-2005, 08:51 PM
~**... Tanha Chand ...**~
Woh kuch aisay lafz likhta hai.. lafzoon mein jazboon ko proo sa daita hai.. woh kuch aisay khawb bunta hai.. khawboon mein haqeeqat ko samoo sa daita hai.. woh baat karta hai.. uss ke batoon say khuboo si aati hai.. fiza mehaknay lagti hai.. zehnoon ko mehsoor karti hai.. taskheer karti hai.. uss kay lehjay mein taseer aisee hai.. sunay koi ussay sab bhool jata hai.. gham kitna bhi bara kiyon na ho.. woh un pay hath rakhta hai tu woh mit'nay say lagtay hain.. !!
Woh chand jaisa hai... har shab ko nikalta hai.. manzil khoonay waloon ko.. kuch aisay woh milta hai.. sayaah tareek rahoon mein.. sab kuch dikhnay lagta hai.. unhain kuch aisay lagta.. din nikalnay walla hai.. safar bus kat'nay walla hai.. woh us ke aur tak'tay hain.. uss say battain kartay hain.. uss ke battain sun'tay hain..
Rahoon say bhatak'nay wallay loug.. shaid yeah samajhtay hain.. yea jo chand nikla hai.. manawar yeah jo itna hai.. keh har shay iss say roshan hai.. daim abaad rehna hai.. zawaal is ko nahi aana... woh apni bhool jatay hain.. ussay manzil banatay hain.. par jab yeah doob jata hai.. safar kat' kay nahi daita.. tareeki barhnay lagti hai.. behtay waqat ka dhara bhi.. youn tham'nay saa lagta hai.. saans ruk'nay see lagti hai... zindagi kam par jaati hai.. bohat dair hoo jaati hai.. !!
Woh shayr hai.. uss ka pay'sha aisa hai.. tareek rahoon mein rehna aur.. kuch roshan lafz likh daina.. sehar taari sa kar daina.. likhna baat koi bhi tu.. kuch aisay dhang say likh daina.. parhay uss ko koi bhi tu.. lagay baat uss ke yeahi tu hai.. bay'tarteeb harfoon ke.. youn tarteeb daina keh.. har harf say sur niklay.. bay'mainee see batoon ko.. naye mainee woh daita hai.. woh shair hai.. uss ka paysha aisa hai.. !!
Amal say bilkul aari hai.. na samjhoo yeah anaari hai.. woh jazboon ka khilaari hai.. izzat gar tum ko payaari hai.. na us'ko chand samjhna tum.. na us'ke baat sun'na tum.. na'us ke aur tak'na tum.. woh tanha hai.. lutaira hai.. woh zalim hai.. woh kafir hai.. woh apni meethi batoon say.. woh apnay fun ke taqat say.. tum pay ghazlain likhay ga.. tumhara dil lubhaye ga.. baray rishtay banaye ga.. par kar kay tunha tum ko woh.. ik din choor jaye ga.. !!
Adaat uss ke purani hai.. woh har shab ko nikalta hai.. gagan pay tanha rehta hai.. khud ko roshan samajhta hai.. woh apni baat karta hai.. souraj ko bhool jata hai.. par jab din niklta hai.. kaheen pay chup woh jaata hai.. haan magar har shab ko.. aatay jaatay logoon pay.. kuch ghazlain woh likhta hai.. kuch battain woh karta hai.. aur naghmay bhi sunata hai.. !!
Sadiyon say woh tanha hai.. uss nay tanha rehna hai.. na'asooda jazboon ke.. taskeen uss nay karni hai.. par na'shaad rehna hai.. mohabbat ke baat karni hai.. mohabbat tu nahi karni.. jazboon ko harf dainay hain.. amal say magar un ko.. ussay pa'maal karna hai.. uss kay khoon mein shamil hai.. tarkeeb uss ke kuch aisi hai.. wafa uss' say nahi mumkin.. tum uss ke chah nahi karna.. koi rishta bhi nahi bun'na.. kabhi kaya aisa mumkin hai.. zameen pay woh utar aye.. aur tumharay saath chal paye.. nahi mumkin.. nahi mumkin.. !!