10-02-2005, 07:01 PM
Kaash... !!!
Ajab hee lafz hai yeah Kash bhi.. guzar jaata hai jab sab tu nashtar ke tarhaan chubhnay lagta hai.. Kaash.. Youn na hoota.. Kaash... Mein Ussay Rook Layta.. Kaash... mein Seh layta.. Chup hee rehta.. Kaash.. !!
Koun hai jo iss lafaz ke zarb say bach paya hai.. hum sab hee ke zindagi mein koi koi kaash naqab lagaye baitha hai.. zara chook hoi nahi.. keh zaat kay gulshan mein iss kaash ka babool khila nahi.. kissi ghun ke tarhaan tanawar darakhtoon ke chaat jata hai.. tamaam phaal phool khilnay say pehlay iss iss ik Kaash ke bhaint charh jaatay hain.. !!
Iss kaash ke kahani bhi ajab hai.. azal say hai abad tuk rahay gi.. kash ablees adam ke azmat ko jaan paata.. magar nahi... par ah.. kaash adam he apnay barhtay qadmoon ko rook layta.. Ah.. yeah bhi nahi.. warq palaty jaiyeah.. iss kaash ke karastaniyaan kam na hoon gee.. har mour pay ik kaash insaniyaat ke bay'bassi pay hansta milltay ga.. kitnay he kaashi hai jo tareekh kay auraaq pay bikhray paray hain.. !!
Magar yeah Kaash hee tu hai.. jo humain humara nishaan daita hai.. humaari pehchaan banta hai.. Yeah Kaash hee tu humain sab say munfarid karta hai.. humain humaari azmat kay hoonay ke khabar daita hai.. humain humaray zindaah honay ka ehsaas dilaata hai.. gar yeah kaash no tu kiss kadar bay'rang wa bay'mainee ho jayain iss jeevan kay shab o rooz.. !!
Magar kis kadar na'samajh hein hum loug bhi.. Iss Kaash kay karishmoon ko daikhtay hain.. magar sooch ke bay'naiee ko moond laytay hain.. pachtaoon kay andhairoon mein panah laytay hein.. woh Qowat e Parwaaz jo yeh Ik Kaash humain bakhasta hai.. uss say moun moor laytay hain.. magar uss ke qudrat kay khail bhi ajab hain.. woh har moor pay humain ik naye kaash say milwaata hai.. iss umeed pay keh shaid... Iss baar... Magar har baar hum ussay na'umeed kartay hain.. aur humaari tarhaan.. uss kay hissay bhi sirf Kaash hee aata hai.. !!
Kaash...! hum iss Kaash ke qowat ko samajh sakain....
Kaash... !!
Writer: Abdul Basit
Dated: September 14th 11:37pm GMT