Ik Khawb Ko Sajaanay Mein.. Qeemat Jitnee Lagti Hai.. Uss Ko Chukanay Mein.. Poonji Saari Lagti Hai .. !!!
Khawb Kanch Say Nazuk Hain... Zara See Bay'Ehtiyaati Say...Kirchi Kirchi Hoo Jatay Hain.. Kirchi Kirchi Hoona Hee... Khawboon Ka Muqadar Hai..!!!
Maira Dil Bhi Ziddi Tha.. Iss Nay Thaan Rakhi Thee.. Laho Bahay Ya Jaye Jaan.. Ik Khawb Ko Sajana Hai.. Payaar Ko Nibhaana Hai.. Sab Rishtoon Ko Apnana Hai.. Par Iss Nay Kab Yeah Jana Tha... Ik Rishtay Ko Apnanay Mein... Kitnay Rishtay Martay Hein.. Sab Sangee Hee Bichartay Hein... Phir Us Rishtay Ko Nibhanay Mein... Khoof Seenay Mein Paltay Hein..!!!
Rishtoon Ke Kahaani Bhee.. Sadiyoon Hee Puraani Hai.. Khoon Ka Ho Ya Lafzoon Ka.. Zehar Tu Sab Ka Ik Sa Hai.. Wafa Ke Jo Kahani Hai.. Rishtoon Nay Kab Nibhaani Hai.. Dhoop Chaoon Kay Khail Mein.. Sab Ko Chaoon Hee Payaari Hai..!!
Rishtoon Ke Kahaani mein.. Saath Ko Nibhaanay Kay.. Jitnay Waaday Hootay Hain.... Qoos e Qazah Kay Rung Jaisay.. Dil Ko Yeah Lubhaatay Hain.. Apnee Aur Bulaatay Hain.. Par Un Kay Sahaaray Jab... Hum Door Safar Nikaltay Hain.. Tab Khabar Yeah Hooti Hai.. Wadoon Kay Iss A'asa Ko... Mas'Layhat Ke Deemak Nay.. Kab Ka Chat Khaya Hai.. Khook'la Kar Rakha Hai.. In Kay Sahaary Hum.. Kab Safar Kar Patay Hain.. Manziloon Ke Khawahish Mein.. Rahoon Mein Mar Jatay Hain...!!!
Khawb Magar Kab Martay Hain.. Uss Ghar Ko Bananay Kay.. Jiss Ghar Ko Bananay Mein.. Tamaam Umar Lug'tee Hai.. Jiss Ghar Ko Giranay Ko.. Aik Jhoonka Kaafi Hai..!!
Hum Nay Bhi Banaya Tha.. Sapnoon Say Sajaya Tha.. Kaya Kahain Aab Kaisa Tha.. Mohabbat Ka Gehwara Tha.. Khushiyoon Ka Ista'ra Tha.. Woh Ghar Jo Tumhara Tha.. Woh Ghar Jo Humara Tha.. Uss Ghar Ko Lagayee Aag.. Ghar Kay Charaghoon Nay..!!!
Raakh Pay Uss Ke Baitha Aaj.. Soochta Hoon Kiyon Banaya.. Iss Qadar Mohabbat Say.. Kaya Ik Khawb Ko Sajanay Ko ? Ya Ik Rishtay Ko Nibhaanay Ko ?
Iss Ghar Ke Baqa Ke Kaya ?
Ik Chingaari Qeemat Thee ?
Waqat hoo chala hai chand lamhoon ko ankhain moond kay... kissi khawb ka paloo thaamay door wadyoon say aati mehakti hawa mein... urtay jugnoon kay peechay dorrtay... unhain pakarnay ke chah mein thak kay gir janay... aur phir waheen kissi pathar pay sar rakh kay... kissi bhoolee bisree yaad ke chaoon ko jisam mein youn utarnay ka keh... saaray din ke thakan mitt jaye... !!
Aaj mein nay.. woh saray rishtay.. Khoo diyeah hein.. tunhaiyaan mairi jo baant'tay thai.. woh saray rishtay.. jo zindagi kay karay safar mein.. baad e saba say chal rahay thai.. jo iss jaltay badan pay.. kabhi lafzoon ke phahay.. rakhtay na thktay thai.... woh shabnami lehjay.. woh sama'ootoon mein khanaktay qehqahay.. jo sirf mairay liyeah thai.. sab khoo diyeah hain.. !!
Woh saaray rishtay.. jo bunay thai mein nay.. yaheen kaheen pay.. mohabatoon ke khawahishoon mein.. din raat ke rayazatoon say.. ik ik kar kay choot gai hain.. woh saray chehray .. mujh say rooth gaiye hein.. kissay yaad rakhoon .. kissay bhool jaoon.. kissay mein pukaroon.. mein kis kay pass jaoon.. !!
Woh Taqdir ka fasana.. sunaoon kis ko jaa kay.. jo rooth gaya mujh say.. jo gum hoowa hai khud mein.. ehsaas kaya dilaoon.. woh kab ka mar chukka hai.. jantay ho tum bhi.. anjaan kaya banoon mein.. par bholoon mein us ko kaisay... !!
Woh cheh'chanay walli.. woh dheemay lehjay wali.. woh khushboon ke battain.. woh jugnoon ke battain.. har shaam karnay walli.. hai khoo gaiee kahaan pay.. koi dhoond us ko laye.. keh saans mujh ko aye.. !!
Woh mehfiloon ke rounaq.. jo zeest ka tha hasil.. woh choor kay chala hai.. guzri tamaam battain.. woh keh gaya hai mujh say.. woh shakhas jo milla hai.. jo dost ik naya hai.. batoon mein uss ki mujh ko.. nasha sa ik milla hai.. mein baat uss say har shab... karta hoon raat bhar ab.. haan jaanta hoon tum ko.. par hum dost tu nahi hain.. haan jantay hain kuch kuch.. mujhay yaad tu karana.. rishta tha kaya humara.. !!
Woh shakhas mohabbatoon mein.. jo zid ka tha qayal.. woh jis ke mohabbatoon nay.. fasloon ka beej boya.. woh shakhas jis ke khatir.. saaya mein nay khooya.. kaya baat karoon mein uski.. samajh sakay ga kab woh.. masroof hai ab itna.. woh keh gaya hai mujh ko.. jab yaad mairi aye.. awaz mujh ko daina.. par lout kay mein aoon.. umeed yeah na rakhna.. mein kaya kahoon ab uss ko.. woh skakhas ajeeb shakhas hai.. !!
Khawahishoon ke loo pay jag'tay... tamaam shab mujh ko tukthay.. woh jis ke udaas ankhain.. bhool gaiee hain soona.. mein kaisay ussay bataoon.. woh shaam dhal chuki hai.. woh khawb mar chuka hai.. matam mein jis kay ab woh.. nafrat hai mujh say karti.. woh baat pal do pal ke.. zindagi nahi thi.. mein gir raha us pal.. jab thama tha us nay mujh ko.. woh uss pal ke larzishain theen.. koi faisla nahi tha.. woh waqat guzar gaya hai.. mumkin nahi hai ab yeah.. hum jeetay rahain usee mein.. woh dosti kay rishtay... mohabbat kabhi nahi thai.. woh bad'gumaan hai mujh say.. woh sab say keh rahi hai.. mujhay mujrim bana rahi hai.. gar baat hai yeah sach tu.. saza daiti nahi hai kiyon phir.. hum dost thai humaisha.. hum dost hee rahain gai.. woh mohabatoon ke khatir.. mohabbat karnay wali.. samjhay gi bhala kab yeah.. woh jatay jatay har pal.. lafzoon ke kund churree say.. mujh qatal kar rahi hai.. !!
Woh aman ke alamat.. jo rungoon say khailti hai.. kaya naam tha bhala sa.. woh asha thi sabhee ke.. batoon mein shookh pun tha.. lehjay mein ghum ghulla tha.. woh khushiyoon ko dhoondti thi.. woh lafzoon ko choomti thi.. woh har raat uss ka ana.. hazaar battain karna.. qehqahay lagana... lagta hai ab fasana.. woh bhooli nahi hai kuch bhi.. par faslay hain aisay.. woh paas aa bhi jaye.. door hee hai rehti.. !!
Kitnay hee naam aisay.. tum jaantay hoo sab ko.. kaya naam un ka loon ab.. woh saray mairay payaray.. aziz jaan say thai jo... mairay saath thai kharay joo... ik ashiyaan ke khatir.. makaan hoo raha hai ab jo.. woh kehtay thai har pal mujh ko.. banaoo is ko gar tum.. hum khushiyoon say sajayain.. geet milan kay gayain.. har din hoo eid ka phir.. har raat mastiyaan hoon.. tum ghar tu banaoo.... bassaayain gai mil kay hum sab.. !!
Tanha khara tha mein tu.. ik dasht kay kinaray.. lay aye mujh ko yeah sab.. ik khawab kay saharay.. tabir suna kay mujh ko ... kehnay lagay phir sab.. banaoo ghar ik aisa.. nazeer na millay jo.. dain misaal sab hee.. mein zindagi ko hara.. bhat'takta tha ban banjara.. kabhi ghar na milla tha.. bus naam hee suna tha.. batoon mein aa gaya tha.. mujhay kaya pata tha.. jis ghar ke khatir mein nay.. jee jaan ko lagaya.. jo maal bhi kamaya.. kiya paani aur bahaaya.. woh din raat ke rayaazat.. kabhi soona bhool jana.. kabhi din bhar kuch na khana.. bus ik junoon mein rehna.. hai iss ghar ko banana.. !!
Woh ghar jo ban gaya hai.. woh ghar nahi hai maira.. koi jaanta nahi hai.. pehchaanta nahi hai.. ajnabi hain sab he.. woh dost thai jo mairay.. kudarotoon kay sung woh.. door jaa chukay hain.. Haan ghar tu ban gaya hai.. khawboon say saj gaya hai.. par mein tu lut gaya hoon.. woh rastoon kay sathi.. woh gham gusaar mairay.. jab ghar yeah buss gaya tu.. masroof hoo gaye hain.. rastay badal liyeah hain.. naye sathiyoon kay sung woh.. mujhay choor kay challay hain.. tunha khara hoon phir say.. ussi dasht kay kinaray.. jis dasht say challa tha.. ik khawab saharay.. !!
Tunhaiyoon pay mairi.. bahaar aa chuki hai.. mayoosiyoon k shajar pay.. wehshattain khil rahi hain.. pachtaoon ke lehar sung.. umeedain beh gai hain.. par khush hoon bohat ab mein.. lutta kay apna sab kuch.. koi khawb aab na aye.. na phir say mujhay bulaye.. naa naam e dosti pay.. mujh dashat say bachay.. sahil pay lay kay jaye.. na gul koi khilaye... jee liya hai mein nay... jeena tha jitna mein nay.. andhairoon mein khoo chuka hoon.. intazaar kar raha hoon.. uss neend ka keh jis mein... koi khawb hee nahi hai.. !!
Tunha khara hoon phir say.. ussi dasht kay kinaray.. jis dasht say challa tha.. ik khawab saharay.. !!