03-19-2006, 02:33 PM
~**...Khaleefay...**~
Humara moa'shra khaleefoon say bhara howa hai... yeah baat achi hai magar
masla yeah hai kay khalifa ziada hain aur khalafat ko manay walay kam hain..
aap ko jitnay bhi khalifay millain gai sab ko acha banay aur acha
kehalwaanay ka khu'bt ho ga.... who koi bhi kaam karain koi bhee baat karain
un kay mud e nazar sirf aur sirf yeahi ho ga kay loug un ko acha kehain un
ko acha samjhain.. iss kay wastay un ko kuch bhi karna paray kuch bhi kehna
paray.. kabhi nahi chooktay.. halaankay achay tu sirf farishtay hootay
hain.. aur insanoon mein agar koi farishta sift hoota hai tu who sirf bachay
hee hootay hain.. magar aaj kal kay tu bachay bhi shaitaan hoo gai hain..
kabhi kabhi tu lagta hai kay khud ko acha sabit karnay ke khawahish hee
shaitani hai.. shaitaan bhi tu issi khabat mein raha kay mein sab say acha
mujh say acha koi nahi.. khair jo bhi tha magar aik baat manee paray gi kay
aur kuch hoo na hoo.. shaitaan kay man'nay wallay bohat hain.. magar yahaan
pay khalifoon ka shaitaan say mo'azna matloob nahi hai..
Har khalifa ka apna aik toola hoota hai.. jo kay uss kay pairoo kaar hootay
hain... bilkul waisay hee jaisay jungle mein bhairyeah toliyon mein shikaar
kartay hain.. yeah toola bhi apnay khalifa kay ashirbaad kay sath toliyon
ke shakal mein shikaar karta hai.. aur agar koi iss tollay say alag hoo jaye
tu yeah toola us ka shikaar bhi kar laita hai... wajaa uss ke khalifa ke
khayaali dastaar ka bachaoo hoota hai.. jo har asool say ma'vra hooti hai..
pichlay dinoon hum nay iss ka aik amlee muzahira bhi daikha.. jinhoon nay
nahi daikha woh khush kismat hain..!!
Aisay hee aik aur khalifa bhi hain un say baat hoi unhoon nay pichlay dinoon
sattay ka kaam shuroo kiyeah.... Hum nay kaha yeah tu baray ghtay ka kaam
hai.. tu jawab aya mein koi bay'waqoof hoon.. mujhay tu faida howa hai..
baat ko socha jaye tu sahi kaha unhoon nay.. kay bay'waqoof wohi hoota hai
jis ko ghata hoo jaye.... aur agar nafa hoo tu chahay aap kitnay hee baray
Nehlay kiyon na hoon.. aap ka paidaishi haq hai kay aap khud ko khaleefa
samjhain.. issi liyeah hum nay un ko foran khaleefa maan liyeah.. apna nahi
haan magar un ko un kee hee souch ka khaleefa..
Humara moshahida batata hai kay tamaam Khalifay bohat qabil e reham hooteey
hain... koi in ko daroogh atna na samjhay tu khud hee apna ishtehaar ban
jaatay hain... Aksar jahaan pay bohat saray khalifa ikathay hoo jain wahaan
pay voting karwai jaati hai ta kay kissi aik ko khalifaa ke masnad pay
bithaya jaa sakay.. gaye dinoon mein aisay hee aik muqabla howa tu aik
khalifa humaray pass aye aur bola kay kay tum nay mujh ko vote nahi dalla..
hum nay kaha bhai yeah tu bachoon kay khail hain.. aap baray hoo gai hain..
magar nahi jee jab tuk hum nay un ko vote nahi daal diya.. humari jaan
karikee mein aye rahee.. aur jaisay hee vote dala.. pata challa hum tu
ra'aya mein badal chukay hain.. tu hum iss kay baad iss nateejay pay
pohanchay hain kay har Khalifa kay andar aik boaht shaitaan bacha bhi hoota
hai.. jis ko jab apni pasand ka khiloona mill jata hai tu baki sab bhool
jata hai..!!
Aaisay hee aik aur khaleefa say pichlay dinon mulaqaat hoi... un ka tareeqa
e wardaat bilkul waisa hee tha jaisay kay humaray hukmaranoon ka hai.. who
agar pardais mein na hootay tu yaqeenan MPA ya MNA kay ellection lar rahay
hootay.. hum un say milnay say pehlay kaafi batoon say na'waqif thai.. Yeah
wohi sahib hain jin say milnay kay baad hum nay Nashaay pay aik mazmoon
likha.. Nashaa pay mazmoon iss liyeah nahi likha kay who nasha kartay hain..
haan magar nashay mein rehtay hain.. aur un ko apnay iss nashay say iss
kadar aqeedat hai kay koi kabhi un ka nasha khata karnay ke koshish karay tu
who sab kar guzartay hain jo jung aur mohabbat mein jaiz hoo sakta hai..
matlab sab kuch hee.. batoon say tootay.. koi baat karain gai mein say
shuroo hoo gi.. aur mein pay hee khatam hoo gi... kud kaath kay bonay..
matlab jitni hud e nazar aik bonay ke hooti hai utni hee hai.. jasamat kay
hathi.. iss liyeah jidhar say guzartay hain sab kuch roond'tay howay
guzartay hain.. fitrat kay ount.. matlab mouqay kay intazaar mein rehtay
hain... baat ko bhooltay nahi hain... aur harkatoon kay bhairyeah... yeah
iss liyeah kaha kay tanha kuch nahi akrtay.. pehlay aik toola banatay hain..
phir mill kay kartay hain... akhri daffa tabhi millay thai jab pehli daffa
millay thai..!!!
aisay hee kuch khalifaay aur bhi hain.. un kay baaray mein phir likhoon ga
aur yeah silsalla abhi shaid kuch dinooon tuk chalta rahay, mouqa millay tu
parhtay rahiyeah ga..