![]() |
Kha'ay KhaLeeFay...! - Printable Version +- Hallagulla - Virtual Home for Real People (https://www.hallagulla.com:443) +-- Forum: Urdu Adab (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=4) +--- Forum: Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=790) +---- Forum: UrduWorld Leading Writers (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=80) +----- Forum: Abdul Basit (https://www.hallagulla.com:443/forumdisplay.php?fid=721) +----- Thread: Kha'ay KhaLeeFay...! (/showthread.php?tid=73805) |
Kha'ay KhaLeeFay...! - imported_naz - 03-19-2006 ~**...Khaleefay...**~ Humara moa'shra khaleefoon say bhara howa hai... yeah baat achi hai magar masla yeah hai kay khalifa ziada hain aur khalafat ko manay walay kam hain.. aap ko jitnay bhi khalifay millain gai sab ko acha banay aur acha kehalwaanay ka khu'bt ho ga.... who koi bhi kaam karain koi bhee baat karain un kay mud e nazar sirf aur sirf yeahi ho ga kay loug un ko acha kehain un ko acha samjhain.. iss kay wastay un ko kuch bhi karna paray kuch bhi kehna paray.. kabhi nahi chooktay.. halaankay achay tu sirf farishtay hootay hain.. aur insanoon mein agar koi farishta sift hoota hai tu who sirf bachay hee hootay hain.. magar aaj kal kay tu bachay bhi shaitaan hoo gai hain.. kabhi kabhi tu lagta hai kay khud ko acha sabit karnay ke khawahish hee shaitani hai.. shaitaan bhi tu issi khabat mein raha kay mein sab say acha mujh say acha koi nahi.. khair jo bhi tha magar aik baat manee paray gi kay aur kuch hoo na hoo.. shaitaan kay man'nay wallay bohat hain.. magar yahaan pay khalifoon ka shaitaan say mo'azna matloob nahi hai.. Har khalifa ka apna aik toola hoota hai.. jo kay uss kay pairoo kaar hootay hain... bilkul waisay hee jaisay jungle mein bhairyeah toliyon mein shikaar kartay hain.. yeah toola bhi apnay khalifa kay ashirbaad kay sath toliyon ke shakal mein shikaar karta hai.. aur agar koi iss tollay say alag hoo jaye tu yeah toola us ka shikaar bhi kar laita hai... wajaa uss ke khalifa ke khayaali dastaar ka bachaoo hoota hai.. jo har asool say ma'vra hooti hai.. pichlay dinoon hum nay iss ka aik amlee muzahira bhi daikha.. jinhoon nay nahi daikha woh khush kismat hain..!! Aisay hee aik aur khalifa bhi hain un say baat hoi unhoon nay pichlay dinoon sattay ka kaam shuroo kiyeah.... Hum nay kaha yeah tu baray ghtay ka kaam hai.. tu jawab aya mein koi bay'waqoof hoon.. mujhay tu faida howa hai.. baat ko socha jaye tu sahi kaha unhoon nay.. kay bay'waqoof wohi hoota hai jis ko ghata hoo jaye.... aur agar nafa hoo tu chahay aap kitnay hee baray Nehlay kiyon na hoon.. aap ka paidaishi haq hai kay aap khud ko khaleefa samjhain.. issi liyeah hum nay un ko foran khaleefa maan liyeah.. apna nahi haan magar un ko un kee hee souch ka khaleefa.. Humara moshahida batata hai kay tamaam Khalifay bohat qabil e reham hooteey hain... koi in ko daroogh atna na samjhay tu khud hee apna ishtehaar ban jaatay hain... Aksar jahaan pay bohat saray khalifa ikathay hoo jain wahaan pay voting karwai jaati hai ta kay kissi aik ko khalifaa ke masnad pay bithaya jaa sakay.. gaye dinoon mein aisay hee aik muqabla howa tu aik khalifa humaray pass aye aur bola kay kay tum nay mujh ko vote nahi dalla.. hum nay kaha bhai yeah tu bachoon kay khail hain.. aap baray hoo gai hain.. magar nahi jee jab tuk hum nay un ko vote nahi daal diya.. humari jaan karikee mein aye rahee.. aur jaisay hee vote dala.. pata challa hum tu ra'aya mein badal chukay hain.. tu hum iss kay baad iss nateejay pay pohanchay hain kay har Khalifa kay andar aik boaht shaitaan bacha bhi hoota hai.. jis ko jab apni pasand ka khiloona mill jata hai tu baki sab bhool jata hai..!! Aaisay hee aik aur khaleefa say pichlay dinon mulaqaat hoi... un ka tareeqa e wardaat bilkul waisa hee tha jaisay kay humaray hukmaranoon ka hai.. who agar pardais mein na hootay tu yaqeenan MPA ya MNA kay ellection lar rahay hootay.. hum un say milnay say pehlay kaafi batoon say na'waqif thai.. Yeah wohi sahib hain jin say milnay kay baad hum nay Nashaay pay aik mazmoon likha.. Nashaa pay mazmoon iss liyeah nahi likha kay who nasha kartay hain.. haan magar nashay mein rehtay hain.. aur un ko apnay iss nashay say iss kadar aqeedat hai kay koi kabhi un ka nasha khata karnay ke koshish karay tu who sab kar guzartay hain jo jung aur mohabbat mein jaiz hoo sakta hai.. matlab sab kuch hee.. batoon say tootay.. koi baat karain gai mein say shuroo hoo gi.. aur mein pay hee khatam hoo gi... kud kaath kay bonay.. matlab jitni hud e nazar aik bonay ke hooti hai utni hee hai.. jasamat kay hathi.. iss liyeah jidhar say guzartay hain sab kuch roond'tay howay guzartay hain.. fitrat kay ount.. matlab mouqay kay intazaar mein rehtay hain... baat ko bhooltay nahi hain... aur harkatoon kay bhairyeah... yeah iss liyeah kaha kay tanha kuch nahi akrtay.. pehlay aik toola banatay hain.. phir mill kay kartay hain... akhri daffa tabhi millay thai jab pehli daffa millay thai..!!! aisay hee kuch khalifaay aur bhi hain.. un kay baaray mein phir likhoon ga aur yeah silsalla abhi shaid kuch dinooon tuk chalta rahay, mouqa millay tu parhtay rahiyeah ga.. ![]() Kha'ay KhaLeeFay...! - $@GH@R - 03-27-2006 :rose V.NICE DEAR :rose Kha'ay KhaLeeFay...! - king of kuwait - 08-11-2006 V.nice Dear ..... |