03-04-2011, 01:50 PM
http://forum.urduworld.com/f187/qissa-e-...ndex5.html
Assalam o Alaikum
Ye tehreer mein ne kisi per ilzam lagane k lye nhi likhi lekin hamare ma'ashray k kuch pehle aise bi hain jo is tehreer per pure utarte hain..
Mehmanun se bhara ghar ab khali ho chuka tha,dur parre se aye hue laug sath wale ghar main tehraye gye the.Kuch ghantay pahle hansi aur shaur sharabay wala ghar ab yun khamosh tha jaise kisi ne jadu se har manzar rauk dya ho. Adhay ghanta pahle unki beti Shiza pariyun se roup lye rukhsat hui thi,waseeh lawn main pattiyan phali hui thi tu kaheen stage pe sajaye jane wale phul udas se the. Barqi qumqumon se roshan ghar bi makeen k rukhsat hone pe ranjeeda sa lagta tha. "Ayiye andar chalte hain" faryal ne hasan sahab k kandhe pe hath rakh kar kaha jo abi tak stage ki tarf daikh rhe the. Nahi kuch dair yahan bethne do,acha lag rha hai,faryal ka hath pakar kar samne wali kursi par bithate hue hasan sahab ne jawab dya. Jaise apki marzi, dheemi awaz main kahte hue phulun ko daikha Kabhi ye phool uski kamzori the magar ab usko in phulun pe rashk ki jaga tars ata tha. Phool muhabat ki nishani jo mehbub k qadmun tale hi ronde jate hain,aur muhabat bi aisi jo pal bhar main khatm ho jaye. "Mujhe aap se kuch bat karni hai", kuch pal ki khamoshi k baad faryal boli, "Mujhe bi tum se kuch kahna hai hasan sahab bole the."Jee ap kahiye main sun rai hun".. Aj mujhe ammi k faisle pe khushi mehsoos ho rai hai,Tum ne meray ghar aur zindagi main khushi aur sakun bhar dya hai.. Tehro aj mujhe kah lene do,hath k ishare se kuch kahti faryal ko roka. Shizza hamari aklauti aur farmanbardar oulad aj widah ho kar apne ghar chali gyi hai,uski tarbiyat aur parwarish main tum ne apna aap maar dala mujhe tumhara shukrya ada karna hai aur aur.. Kuch jhijhakte hue unho ne faryal ki tarf daikha jo bohat be-ta'asur chehra lye ye sub sun rahi thi Faryaal main ne 25 saal main aj tak tumhe nai kaha lekin aj sache dil se kahta hun: "Mujhe tumse aqeedat ki hadd tak muhabat hai". Main janta hun mehaz aik jumla kahne se 25 saal ki khalish mit nai sakti lekin yun samjho main subha ko bhula tha jo ab manzil pe aya hun..
Faryal ne aik nazar hasan sahab ki tarf daikha, uncha qad,khare naqoosh,sanwali rangat aur zaheen ankhain, kanpati se safaid hote bal jo unki sakhsiyat ko mazeed jazib-e-nazar aur pur-waqar bana rhe the. Agar ye jumla usne aj se 25 sal phale suna hota tu najane wo kitni khush hoti lekin aj ye ahteraf sun kar dil main kisi umang ne sar nai uthaya tha. "Aap ne yehi kahna tha?" Faryal ne sawal kya,"Haan kya itna kafi nai?" Hasan sahab kuch bechain se bole. Aik dheemi si bujhi hui muskurahat usk lab pe aa tehri,je ye bohat ziada hai.Apna purse kholte hue wo ruki,kuch tahshuda paper nikalay Aur hasan sahab ki tarf barhaya "Mujhe is qaid se rihayi chahye in papers pe sign kar dijye" kya bakwas kar rai ho? Aik jhatke se uththe hue wo dheemi awaz main chilaye. Aap beshak bakwas samjhain magar mujhe is naam-nihad rishte se ab azadi chahye,faryal ne usi dheemay lehjay main kaha. Lekin kion? Hasan sahab thora narm parre.. Itne saal hum ne sath guzare,abi hamari beti rukhsat hui hai aur tum..unhun ne bat adhuri chori. Aap ne sahi kaha itne sath hum ne SATH guzare chahe wo aik majburi hi kyun na ho, main apne kamre main ja rahi hun ap se subha is mauzu pe baat ho gi. Kursi se uthte hue wo andar ki janib barhi, kamre ka darwaza lock karte hue wo thaki hui waheen neche beth gayi,25 saal k har har lamhay jis jumlay ko sunna chaha wo mila bi tu ab? Ab jub bicharnay ka pal aan tehra tha,ankhun se mooti toot toot kar rukhsarun pe behne lagay the..
[COLOR="#ff8c00"]Ghuntun main sar chupate usne apni siskiyan azaad kii, kal aik film ki tarha ankhun k samne aa gya tha, uski saas ne shadi se phale btaya tha k unka beta kahen aur shadi krna chahta tha lekin larki wale zaat se bahir na dete the. Mamta ki qasmain de kar unho ne hasan sahab ko razi kr lya lekin faryal ki aamad bi unk sard aur murda ehsasat ko na garma saki. Shiza k bad usne bi samjhota kar lya tha,apni zat k radd kye jane aur apni beqadri pe buhat takleef hoti thi lekin use sehna tha k wo aik aurat thi. Apni khidmat aur muhabat se usne kayi martaba hasan k gird pheli dewar ko torna chaha lekin wahan kisi ki muhabat ka mizaar pahle se qaim tha. Din maheenun aur maheene salun main dhalte gye,aksar khuwab main kisi ka naam sun kar unsuna krna kitna takleef day tha koi us se puchta.Aur aj itne saalun ka madawa mehaz aik jumlay se kar k khud ko kitna buland tasavur kar bethe the. Mard sari zindagi apni tishna khuwaishun aur muhabatun k sahare guzarte hain aur kayi zindagiyan daun pe lagate hain. Aurat ki mehaz pasandeedgi bi naqabil-e-maufi jurm aur mard ki muhabat bi aik tamgha.. Tamam umr apni muhabat kisi saye pe luta kar akhir main aik sikka bewi ki kashkool main dal kar khud ko badshah-e-waqt samajhne wale ye mard k jin ka kal bi acha aur aaj bi. Apne ansu ponchte hue faryal ne socha aur himat kar k aaina daikha,kis shay ki kami thi us main jo uski zaat ko itne saal khaak main urra dya gya aur ab aik jumle ki bheek day kar paband-e-salasul karna chahte hain. Khirki kholte hue usne lawn main daikha, wo kursiyan bi khali thi jahan wo kuch dair phale maujud the Sard hawa k jhonkay uski zaat main jalte bhanpar ko mazeed barhane lage the. Wo janth thi k uska ye faisla beti k lye mushkilaat laye ga magar ye bi itmenan tha k wo apni saggi phupho k ghar biyahi gyi thi jo jan warti thi. Khirki se hatte hue wo writing table ki tarf ayi,pahle se likhe khatoot ko aik bar phr parha aur mazeed kuch sitrain likh kar maiz pe rakh dya. Almari ki tarf barhte hue kuch socha aur bag main apna samaan dalne lagi, 5 saal phale unho ne apne kamre alag kye the jub shiza bahar parhne gyi thi. Saman jama karte kitne hi aansu gire the magar us ka irada na dagmagaya. Kuch dair baad azaan hona thi aur namaz parh kar usko yahan se chale jana tha,mauzan ki pukar par wazu kar k wo Rabb k samne jhuk gyi. Subha kayi bar dastak dene par darwaza na khula duplicate key se darwaza khol kar jub shiza ayi tu Faryal ka bejan wajood jaye namaz par mitti ki dhaira bana para tha. Peche se dakhil hote hasan sahab agay barhe,shiza unse lipat kar ronay lagi. Khirki se ati hawa se writing table pe para kaghaz pharparaya tha,hasan sahab ne agay barh kar uthaya kaghaz jis k mathe par roshnayi se moti bikhray hue the
Mard ki muhabat aik bulbulay jaisi hai wo tamam umr muhabat k saug main guzar kar bi khud pe har naimat halal samjhta hai aur aurat agr kisi ne masub rai ho tu ye naqabil e talafi jurm ban jata hai. Ye kaisi muhabat hai jo bajaye barhne k sirf aik shakhs ki ho kar rah gyi?Zindagi k kisi daur main bi muhabat karna mard k lye jaiz tehra lekin mujhe is muhabat ka bojh nai uthaya jaye ga.. Faryal.
~sitaare jo damkatey hein
kisi ki chashm-e-hairaan mein
mulaqaatein jo hoti hein
jamaal-e-abr-o-baraan mein
yeh na abaad waqton mein
dil-e-nashaad mein hogi
mohabbat ub nahi hogi
yeh kuch din baad mein hogi
guzar jaaein gey jub yeh din
yeh unnki yaad mein hogi..
Hasan sahab ki ankh se aik qatra nikla,ik ashk-e-nadamat jise daikhne aur samaitne k lye wahan koi maujud na tha. Saalun pahle aik muhabat ne zinda dil ko murda kar dya aur ab iska hasab unhe ta-umr akele dena tha![/COLOR]