03-04-2011, 01:47 PM
Assalam o Alaikum
Kahte hain dunya ki sab se safaak haqeeqat bhook hoti hai? Isi unwan pe kuch likhne ki koshish ki hai Hum sis aap k samne haazir hai:rose
Raat k abhi 9 baje the Yakh-basta hawa k jhonkay shehar k gali kochun main urte phr rahe the,sardi ki shidat se sub gharun main dupkay bethe the.Kaheen kaheen dhund main lipti koi dheemi batti jalti nazar ati thi. Shehar se thori dur khana-badoshun ki aik basti aabad thi,sardi k taiz jhonkay laaltain ki madham si lou ko bi bujhane pe amada the.
Amma,amma: bhook lagi hai kuch khane ko do.. Bhook se bilbilata bilal ne maa ki boseeda chadar khenchi thi, peela chehra,weeran ankhain aur pipri zada hont jo 2 din se bhooke the. Han bhali loke kuch khane mujhe bi khane ko de,chalangi si charpayi pe jhulte bilal k nashai baap ne kaha. Nasha toot raha tha ya bhook ne nasha toora tha, aik lamhe ko rasheeda ne socha lekin maun se kuch na kaha.
Khane ko kuch hota tu de na deti? Rasheeda ne jhunjhala k jawab dya tha aur bilal ko pichkarne lagi, Mera shazada thora pani pi le pait bhar jaye ga ghar main jo tha wo khatm hai.. Aa meri ghod main,tujhe kahani sunati hun bata kaun si sune ga parri wali ya shazaday wali? (bilal k behte ansu ponchte hue boli)
Koi bi nai shazaday k paas tu sub kuch hai main uski kahani kyun sunun? Parriyan hoti tu aaj hamare ghar kuch khane ko na de jati? Amma aj tum mujhe paisay ki kahani sunao wo paisa jo pait bharta hai,khuwab dikhata hai. Na mere bete paisa hi sub nai hai aur khuwab tu bina roti bi aa jate hain bus thore dhundhle hote hain lekin hote tu hain. Kuch pal k lye sar jhukaye bilal khamosh betha raha pani pi k laita hi tha k awaz ayi.
Bilal o bilal,ye le chawal,andar dakhil hota us se bara babar bola. Ye daikh main apne bhai k lye kitne ziada chawal laya hun, thaili maa ki tarf barhate hue usne bhai ko apne kandhe se lagaya. Aj shehar main langar tha amma,main kha kar tum sub k lye dalwa laya(apni maa ki ankh main tairte sawal ko daikh kar us ne wazahat ki) Pait bharne k baad bilal ka chehra thora kam peela hua,bhai langar parri ne dya? Main ne amma ne kahani main bataya tha parri khana deti hai.. Nai pagal, khana tu Allah deta hai halka sa thapar bilal k kaandhe pe maar kar wo bola. Ab so jao, subha phr aur chawal khana shabash, phata huay khaisun ka kambal orhate hue rasheeda ne kaha.
Kya soch rhe ho? Bilal ko sulane k baad rasheeda ne bare bete se pucha.
Jo kha'la main kuch dhundhne ki koshish main tha. Kuch nai.. Mukhtasar sa jawab aya tha phr maa ki tarf daikhte hue bola: Amma abba ka nasha bhuk se toot'ta hai aur hamain bhare pait se nasha mehsus hota hai aisa kyun?
Rasheeda ne chonk kar bete ko daikha jo bamushkil 14-15 saal ka tha phr gahra saans lete hue boli: "Khali pait tu sub nashe hiran ho chahte hain phr chahe wo nasha muhabbat ka hi kyun na ho.. Bus bhuk main kabhi gidh na banna paisun ki khushboo aur sikkon ki khanak k agay tu bare bare pathar pigal k moom ho jate hain insan tu phr matti ki dhairi hai.. Khamoshi chote se khemmay main chakrane lagi thi mehaz 15 saal ki umar main usne bhuk ki haqeeqat,dunya ki sub se talkh haqeeqat jan li thi. Hawa k bagholay bastiyun main ghoom rahe the aur khamoshi ki chaap har su phaili thi..