10-31-2007, 07:35 AM
Tumhain zidd hy
k iqrar-e-wafa tum ny nhi karna
meri taqdeer main rung-e-hina
tum ny nhi bharna
tumhain manzoor hy shayad
mera ghutt ghutt ker hi marna
tumharay faisalay per ab
sar tasleem-e-khum ho ga..
main apnay hont si lu ga
yun hi baykaif gee lu ga
tumharay jabr apny sabr ko
main azmaa lu ga
magar ik baat main puchon..?
tumhain apni qasam
tum sar pe rakh ker hath ye kahna
jawan raaton main meri yaad ki
shamaain nhi jalti
kai soch main apni
meri yaadian nhi palti
meray khat parh ker
jazbon main koi tufaan nhi uthta
to phir tum ny azziyat ki ridaa
kiu taan rakhi hay
ye dil main thaan rakhi hay
bohat baychain khud rahna
bohat bardaad sa rakhna
bhulana bhi to us k sath
kuch kuch yaad sa rakhna
agar ic baat sy tum ko
koi taskeen milti hay...
maeray zakhm-e-talab ka tazkara
ab kam say kam ho ga
tumharay faisalay per ab
sar taleem-e-khum ho ga...
k iqrar-e-wafa tum ny nhi karna
meri taqdeer main rung-e-hina
tum ny nhi bharna
tumhain manzoor hy shayad
mera ghutt ghutt ker hi marna
tumharay faisalay per ab
sar tasleem-e-khum ho ga..
main apnay hont si lu ga
yun hi baykaif gee lu ga
tumharay jabr apny sabr ko
main azmaa lu ga
magar ik baat main puchon..?
tumhain apni qasam
tum sar pe rakh ker hath ye kahna
jawan raaton main meri yaad ki
shamaain nhi jalti
kai soch main apni
meri yaadian nhi palti
meray khat parh ker
jazbon main koi tufaan nhi uthta
to phir tum ny azziyat ki ridaa
kiu taan rakhi hay
ye dil main thaan rakhi hay
bohat baychain khud rahna
bohat bardaad sa rakhna
bhulana bhi to us k sath
kuch kuch yaad sa rakhna
agar ic baat sy tum ko
koi taskeen milti hay...
maeray zakhm-e-talab ka tazkara
ab kam say kam ho ga
tumharay faisalay per ab
sar taleem-e-khum ho ga...
(Its on of my most favourit)