01-07-2007, 10:59 AM
Waqt kisi neher ki terha ... behta rehta hai....
Suraj bhi doobta, ubhurta rehta hai...
Zindagi junum leti hai, mit jaane ke liye....
Aur aadmi merta hai, do ane ke liye...
Ghurz ke her cheez, jis ka nashaib hai, us ka faraaz bhi...aadmi aitbaar kere to kis per...in chulti saanson per...jin ke engine main kitna patrol hai, kisse maloom.....zindagi per, apne maazi, haal yaan mustaqbil per.......apne parosi per....aakhir kis per...
Yeh to hai humara haal, her lumha durr, her pul aik wabaal...jaane kiya kiya kerte hain, jo maut se itna durte hain....aik wehum hai, gumaan hai....shayed jeene ka yehi samaan hai....kis ko apna kehe, kis ko paraaya......bus...aik jaan...aur maut ke itne unwaan....pul pul merta hai...pul pul jelta hai....dil ko kissi ki aas hai...bus dil hi kissi ke paas hai...na chain hai, na araam hai...doob merne ka muqaam hai....
Khushi apna mefhoom kho chuki hai...insaaniyet, kumbal orhe, so chuki hai...phoolon ka rung, pheeka hai...paani...gudla..aur teekha hai...dawa hai, dua nahin...light hai , shua'a nahin...mobile hai, baat nahin...dost unginet, per koi saath nahin...
Aur phir main issi gehmagehmi, aur afratefree ke aalam main...apna ghur baar chor ker kissi weerane main nikel jata hoon...to kiya dekhta hoon ke...undhera...ghup andhera...itna ke haath ko haath sujhaai na de...durr apni jurr pukurta hai...aur wehum kissi khauf ka roop dhaale zahir hone lugta hai...main ghubra jata hoon, aur daurne lugta hoon...taiz....bohot taiz...itna ke mujhe khud undaza nahin...aur main peeche murr ker nahin dekhta...bilkul nahin...
Kahan jaon...kahan punah paon...musjid mundir...Qibla'a Ka'ba...main na janon Us ki zaat...mere din kut'te hain rote dhote...rote dhote apni raat...kiya jaanon Us ki baat...aankhon se chum chum chum barsaat...seene main noor nahin...dil ko suroor nahin...gunah hain ke rukte nahin...yeh ser teri rah main jhukte nahin...Nufs ki laathi hai, hum bhens hain...jis ke aage, been bujaate, thuk gayi meri, rooh ki awaaz...na soz reha...na hi saaz...bus aik khala hai...aur derd ki perwaaz...
Duniya, sehra...dhoop hi dhoop...dufun jis main mere roop...yeh mitti, aur mere paaon...donon maange, gehri chaaon...aage peeche, daayen bayeen...hawa chulti, sayen sayen...

sayen sayen....
sayen sayen....
sayen sayen....