04-01-2006, 02:47 PM
Din jab rukhsat honey lagta hey kuch dair ko rang e malal main
dhal kar SHAM ban jata hey....aur dheerey dheerey raat key
seeney main jazb ho kar dard ki tarah guzar jata hey...... @};-
jab ye rang e malal thehra hua hota hey ...to tum ney deykha hey ?
waqt ki nabzain ..fiza ki sansain ...samandar ka pushoor seena sab
kuch saktey main aajata hey....bhagti dorti zindagee yakdam
kuch pal ko thehar jati hey.....
key judaiE key lamhey to kayenat par bhi bhari hain...!!
SUNO ! @};- Jab main tum sey alag ho rahi thi...
uss lamhey jo rang e malal
merey zamanon main dar aaya tha....
wo wapis simat kar din to nahi
ban sakta...magar aagey barh kar raat main
bhi to nahi dhalta....
ye rang e malal to jeysey thehar sa gya hey
mujh main.... @};-
SUNO !Aik bar phir sey mil kar tum bichar jao....
key ye rang e malal to guzrey...waqt ka sakta hi tootey...
waqt ki nabazon ko sans miley...
ye kayenat kab tak rang e malal main jiye....?
SUNO ! Aik lamha hey judaiE ka...thehar gya hey mujh main....
issey choo kar MUSALSAL kar do...!! @};- @};-