03-27-2006, 04:56 PM
hum adhorey rastoon ke rahi... adhoori manziloon ki talash main...adhoore khud ki talash main... pata nahi kahan kahan bhatak rahey hain... kis kis se milte hain... chahte hain ke woh humain mukammil kar de... kitni chahatein... kitni hi khawahishein ... bas younhi dam toor jati hain... adhay raste pata lagta hai ke woh ham'safar jisay mukammil karnay ki khawahish main aghaaz'e safar sath rakha tha khud adhoora hai... aisey main jayein to jayein kahaan..?? kis manzil ki janib rukh karein... koon se raste ko dhool hote dekhein... loog kehte hian adhoori batein hi zindagi hain... magar phir hum unkay mukammil honay ki itni shiddat se khwahish kiun karte hain... kiun aisey sathi ki khooj karte hain jo humain mukammil kar de... jab ke woh bhi shayad humari terha hi kisi aisey ki talash main ho jo usay mukammil kar de... wo usay kaise bataye ke woh bhi usii ki terha kisi aisey barish ke paani se bharey badil ki talash main hai jo us pe baras jaye ... aur uski tapti hui sehra zindagi ko sairaab kar de... woh kaise bataye ke uski ankhoon main palte khuwaboon ko abhi haqeeqat main khulna hai... hazar rang khawahishoon ke bharna hai... abhi apni ankh main roshni ke aisey diye roshan karna hai jis ki lou kabhi na bujhey... dil main hazar phool muhabat ke khilana hai jin ki mehak uski zindagi ko muatar kar de..... aaaaaaaahhh
hazaar khawahishein aisi ke her khawhish pe dam niklay
bohot niklay mayre armaaN phir bhi kam niklay.....
magar yeh ho na saka... uski koi bhi khwahish poori hoo na saki... hoti bhi kiun kar... woh bhool gai ke uski to khawahishein bhi adhoori hi rahein gi... adhoorey logon ki tamam batein hi adhoori hoti hain....... jeetein bhi.....aur unki maatein bhi... shab'o roz bhi... khawab bhi aur saraab bhi... magar aik poore honay ki khawhish kabhi dam nahi toorti... ke koi to usay mukammil karey ga... adhoore aur mukammil honay ke is safar main .. wo hazaar rastoon se guzar gai... na'janay kitni thokrein khanay ke bad bhi us ik mukammil honay ki khawhish dam nahi torti...
hum adhay adhorey logon ki
her baat adhori hoti hai
kabhi din adhora hota hai
kabhi raat adhoori hoti hai