03-26-2006, 11:43 AM
Kuch khar, kuch dhool aur hain kuch phool... khiyal ki titlion ka guzar aur badguma say kuch bhawaray, din ko tar-o-taza karti ahsas ki dilkash hawain aur raat kay peechlay pahar dukhon ki aus... Hay yahi meri zaat ka chaman...
Chaman may har rang ka phool aur har phool apnay tor say dil-farib... Sabhi phoolon say kia karti thi bataain, yuhin kaat rahay thay meray din aur ye meri raatain... Janay kaab kahan kesay, ain chaman kay beech ek anjana sa ye phool khila... anokha, anmol, ankhon ko lubhata sanso ko mahkata... Har kisi ki zuban par zikar isi harjai ka, iski bewafai ka... bara bhala sa naam hay... Is phool ko kahtay hain, Mohabat !!!
Phool to ye akhir nayab hay aur Ellahi ka kesa azab hay... Sab phoolon say ho kar nazar, isi phool par ruk jati hay... madhoshi may mohabat say lipat atti hay... kia hakikat kia gumaah, bas ek paheli si rah jati hay... phool to phool hay, akhir may bikhar bikhar jata hay....zaat justaju may dar-badar hoti hay aur azal ki gharion ko roti hay...
Suno janaa, aaj ye khumar hay aur kal rahon may urta gubar hay... Kion na ham apni apni zaat may rah kar is phool ko mahfooz kar lain? Phoolon ko mahfooz karna... baat to gambhir hay par aaj ka doar jadeed hay aur paish-e-khidmat aik tajveez hay... Suna hay, murjhanay say pahlay gar phool sookh jai to bikharta nahi hay... Kion na is phool ko bikharnay say pahlay bacha lain, maut ko khud galay laga lain... Mohabat ko is pal ki dhoop may sukha lain aur apnay apnay dilon may... hamesha hamesha kay liye sajah lain ?.?.?