03-20-2006, 10:53 AM
Tum loag kya janoh mujh ko .! ? Loag mohabbat likhtey hein .. Main ...! Main dard likhta hoon .. ! Loag khushian banta'atey hein .! Main gham chunta hoon ..! Mazloom banta hoon na ? Aao Key taras khao mujh per ..! Main hara hua mein ghamgeen main chala ja raha janey kahan roko mujh ko hai na ? Ba'eyKaar hai sab..! Ba'eyMaeni sa ..! Main dard zaroor likhta hoon ..! Par dard hai nahi mujh ko Main gham zaroor chunta hoon per gham hai nahi mujh ko Main mazloom zaroor banta hoon .! Par mazloom hoon nahi mein ...! Main pukarta nahi taras khao mujh per K janta hoon taras key qabil hoon nahi main ..! Main khud ko hara hua kehta hoon per hara nahi mein ..! Ab sochney wala sochey ga kya ba'd bakht insaan hai dhong rachata hai kya ? ..! Haan dhong rachata hoon mein tum sab sai jhoot kehta hoon ..! Main jo hoon woh kehta nahi aur jo nahi woh kehta phirta hoon ? haan dhong rachata hoon mein jhoot bakta hoon ..! Main toh khush hoon tum sab ko dhoka deta hoon ..! main toh jeet chuka hoon...! tum sab ko shikast roz mein deta hoon mujh ko hara mat samjho tum mujh ko dukhayara mat samjho ..! ik dhongi hoon main ..! Natak kerta hoon ..! Jhoota hoon mein ..! tum sab sai jo kuch kehta hoon ..! Tum loag kya janoh mujh ko ...! ? Tum sab ko dhoka deta hoon ...! Tum Loag kya janoh mujh ko ...!