12-11-2011, 04:49 AM
Yeh ada-e-khud farebi toh mizaaj hai humaara
Na kareeb tha kinaara na kareeb hai kinaara
Na khata hai doston ki na qasoor hai tumhaara
Mujhe raah-e-dosti mei meri saadgi ney maara
Gham-e-zindagi ko mai nay kia hai bakhushi gawara
Na kisi say iltija ki na kabhi tumhein pukaara
Mujhe tum nay yaad rakha yeh karam bhi kam nahi hai
Sarr-e-rah mujh ko pucha yeh khuloos hai tumhaara
Na kabhi zaban khuli hai na kabhi zaban khulay gi
Jo shikast hai muqaddar toh shikast bhi gawaara
Kabhi hum bhi chahtay thay k milain humain sahaaray
Magar ab yeh dar rahay kahin koi dey na dey sahara