05-27-2011, 08:28 PM
Asalam o Alaikum,
Ji mizaaj kaisay hein, garmi nay maat mari hoi hai aur issi maree hoi maat kay sath hazir hoon aik khayaal keh lijiyeah ya soch samajh lijyeah kay sath.
Soch kaya hai Khayal kaya hai uss ka sayaaq o sabaaq likhnay baitha tu aap uth jayain gai tu uss ko rehnay deta hoon. :p
Kehna yeah tha keh mein nay jab HG shuroo kiya tha tu aik rule banaya tha tab kay hum apnay dostoon ko sathiyoon ko Ban nahi kiya karain gai, masawaye spammers kay aur un logoon kay jo ghalat kaam karain aysay kaam jin ki humara deen humein ijaazat nahi deta. Magar guzartay saloon mein bohat see cheezain badal gai hein, aur hum nay pichlay kuch saloon mein bohat say sathiyoon ko BAN kiya kuch un ki ghaltiyaan kuch humarri, kuch jald baazi kay faislay thai kuch samajhnay mein ghaltiyaan hoeen. (mein sab say tah e dil say mazrat ka khawastgar hoon, ghalti kissi ki bhi ho BAN karna kissi toor bhi aik darust amal nahi hoota, yeh baat bohat dair say samajh aye paer aa gai hai, bay shak Allah swt behtar maaf karnay walla hai, mere dost sathi bhai behan bhi mujhay maaf kar dein gai)
Magar aaj mein apnay office aatay howay rastay mein sochoon mein gum tha aur aab iss nateejay pay pohancha hoon hum nay jin Asooloon pay banaya tha who asool baray sachay thai baray payaray thai bohat saada say thai aur sab ko asaani say samajh mein aatay thai. Un usooloon kay illawa koi aur asool hum nay koi aur pabandi nahi lagayee thi users pay, aur sab bohat khush thai, tu ussi khushi kay hawalay say yeah poochna hai jo asool hum nay banaye thai jo aab badal kay janay kaya say kaya hoo gai hein, kaya hum un ka dobara say iltaaaq kar layain, aur phir un asooloon ki roshni mein jo deegar forum kay rules hein who bhi ban jayain gai. Jo asool mere yadaash mein mehfooz hein un ko mein bayaan kar raha hoon, aap apni raye bhi dein aur vote bhi karain keh kaya aap chahtay hein in asooloon ka yahaan pay itlaaq kya jaye ya jo abhi mukhtalif rules hein un ko he follow karna chahiyeah.
1. Virtual Home for Real People
yeah asool number one tha, yaani urduworld aik virtual home hai jis ki divarain nahi hein chat nahi hai magar yahaan sab ghar ki tarhaan rehtay hein aur har koi aik haqeeqi shakhas hai, aur koi bhi mehaz aik ID nahi hai. Iss say yeah asool bhi wazeh hota hai keh aik shakhas ki aik he ID hoogi na kay darjan bhar IDs, iss say yeah bhi sabit hota hai jo asool ghar mein rehnay kay ghar mein hotay hein un hee asooloon ka itlaaq yahaan pay bhi hoo ga. Aab sawaal yeah hai keh mukhtalif gharoon mein mukhtalif taraz e zindagi hota hai, tu yahaan kis ghar say muraad li jaa rahi hai, tu iss kay liyeah yeah arz hai kay ghar kay baray ka kirdar urduworld ki intazamiya anjaam day gi magar aap sab kay ittefaq e raye say, ghar logoon say hoota hai char divaari say nahi. Aap hein tu ghar hai aap nahi hein tu koun sa ghar kaisa ghar. Iss asool say yeh bhi wazeh hoota hai keh ghar mein hum aik dosray say behas bhi kartay hein naraz bhi hotay hein gussa bhi hotay hein lartay jhagartay bhi hein, magar rehtay sath mein hai, kuch dair ki narazgi kay baad maan bhi jatay hein. Yeah ghar hai koi dukaan nahi hai, koi daftar nahi hai keh machine andaaz mein kaam hoon, afhaam o tafheem say mohabbat say rawadari say iss ghar ka nizaam chalna chahiyeah, aur yeah afhaam o tafheem yeah rawadari iss ghar ki baqa kay liyeah boaht zaroori hai warna aik baar aik jumla likhnay pay majboor hoo gaya tha mein Iss ghar ki baqa ki kaya, ik chingari qeemat thi nahi kabhi nahi, aur jab gharoon ki tameer mein itnay haath jurray hoon, jab iss ki bunyadoon mein payar he payar hoo tu aysay ghar ko burri nazar nahi laga karti.
2. Love Respect and Care for Everyone
Yeah dosra rule tha, matlab yeah keh chonkay yeah aik ghar hai aur sab ghar mein bhai behan ki tarhaan rehtay hein tu aik dosray say payar mohabbat kay sath rahain aik dosray ka khayaal karain, aur aik dosray ki izzat karain. Yeah asoool iss virtual home ka asaas howa karta tha, aur inshaAllah issay hum iss virtual home ka asaas rakhain gai, yeah aysa asool hai keh iss say adhay maslay hootay hee nahi hein aur jo baki kay adhay maslay ikhtalaf e raye ki wajah say hootay bhi hein, woh bohat jald khaatm hoo jatay hein, iss asool ka matlab yeah howa kay koi bhi member ziada payar nahi hai aur koi bhi member iss ghar ka burra nahi hai, mohabbat sab kay liyeah yaqsaan hai, iss ka yeah bhi matlab howa keh chahay kissi say kitni bhi ikhtalf e raye hoo uss ko payar kay saath saath izzat say suljhana hai, baghair mohabbat kay izzat kay hum aik kadam bhi nahi aagay barh saktay, aur Care, yeah iss asool ki jaan hai, care matlab khayaal karna dosroon ka, aur yeah youn samajh lijiyeah jab jab ikhtalaf e raye hooti hai tu ikhatalaf karnay waloon mein aik aysa hai jis ki baat ki nafi hoi, tu uss ko jab tuk khayaal say payar say izaat kay sath na samjhaya jaye tu diloon mein duriyaan paida hoo jati hein, yeah doriyaan aik dosray ka aik dosray ki izzat e nafaz ka aik dosray ki anna ka aik dosray ke soch ka lehaz karnay say khayaal karnay say kam hoo jati hei gar khatam na bhi hoon tu. Yeah asool jo HG pay shuroo karnay say pehlay bana tha yeah aab UrduWorld pay mafqood hoota jaa raha hai aur mere dilli khawahish hai aur aap keh saktay hein akhri koshish hai keh iss asool ko dobara say laya jaye aur tamaam asooloon ki bunyaad mein yeah asool kaam kar raha hoo.
Bus yeah 2 he asool thai jab yeah safar shuroo kiya tha, aur phir waqat kay sath sath aik kay baad dosra asool banta gaya aur pata bhi nahi challa kab in asooloon kay gunjal mein phans kay hum who safar who manzil jis kay liyeah yeah safar shuroo kiya tha ussay bhool gai, mere dilli khawahish hai iss asool ka hum iss Virutal Home for Real People pay itlaaq karain aur UrduWolrd ko Love Respect and Care for Everyoen kay sunehri asool kay tehat chalayain.
Magar yeah ghar mera nahi hai, aap ka hai, jitna aap ka hai utna mere hai, hum sab ka hai, tu mein akayla iss ka faisla nahi kar sakta, aap mujhay bataiyeah ga aap in 2 asooloon kay baray mein kaya kehtay hein, kaya humein in ka itlaaq karna chahiyeah aur in ki roshni mein deegar tamam asoloon ko tarteeb dena chahiyeah? ya phir jo jaisay chal raha hai waisay chaltay dena chahiyeah ?
Akhri baat agar aksariyaat in asooloon say ittefaq karti hai tu iss ka matlab jo ho ga aur jo iss kay asrat hoon gai who samajh lijiyeah ta kay aap ko faisla karnay mein asaani hoo.
- UrduWorld kay tamaam forums pay aur sections mein jitnay bhi rules hein who khatam hoo jayain gai.
- UrduWorld kay tamaam asool in 2 asooloon ki roshni mein dobara say tarteeb diyeah jayain gai.
- Jo naye rules tarteeb diyeah jayain gai woh impose nahi kiyeah jayain gai balkay polling kay liyeah paish hoon gai aur aap logoon ki approval kay baad implement hoon gai.
- UrduWorld pay aaj tuk jitnay bhi loag BAN hein sab ko UNBAN kar diya jaye ga, masawaye SPAMMERS kay.
- UrduWold Intazamiya aur hum sab dost new asoloon kay paband hoon gai, magar jab bhi kissi asool say masla hoo ga tu uss ko discuss bhi kiya ja sakay ga aur tabdeel bhi kiya ja sakay ga.
- Pooray UrduWorld forum kay tamam sections ka aur deegar features ka in 2 asooloon ki roshni mein tajziya kiya jaye ga naye sirray say in asooloon ki roshni mein tarteeb diya jaye ga.
Mujhay aap sab kay raye ka intazar rahay ga, mein nay tafseel say sab bayaan karnay ki koshsih ki hai, aap bhi jaldi na karain tasali say tafseel say reply karain, mein koshish karoon ga sab ko fardan fardan jawab doon aur agar koi kissi kisam ka sawal hai koi shak o shubah hai tu uss ko door kiya ja sakay.
Wa.Salam.