03-29-2011, 07:59 PM
Zameen pe Murdey
Baaz chehroon main Allah itni kashish rakhta hey k lakh koshish kro k na daikhain ye sahi nahi mager nigah khud ba khud uth hi jati hey, wo bhi aisi hi thi sub se alag, khoobsurat aur ek dum munfarid,abhi main us k seher main gum hi tha k kisi ne is zor se koni mairi pasliyoon ma mari k mairi cheekh hi nakal gai,be ikhtiyar main ne ghussey se braber main daikha mairi class fellow kiran khari thi boli insan bano ziyadha na ghooro usey kyoon khawateen se mar khaney pe tuley ho,maon ne pocha kon hey wo pari paiker ,wo boli Mariam hey us ka naam Aaj kal haqooq-e-niswan k hawaley se is ka buhat naam hey aur jo khawateen ka izhdiham tum daikh raho ho na ye usey hi sunney aaye hain abhi hum guftago main masroof hi they k wo mike pe aagai us ki awaz bhi us ki trha khobsurat thi ya phir mujhey hi us ki her ada bha rahi thi main kuch yaqeen se keh nahi sakta aaiye aap ko bhi sunatey hain wo kia keh rahi hey
Wo keh rahi hey yahan bari bari tanzimain hain aur ek se ek khawateen hain jo khawateen ki aazadi k liye sergarm hain mager taqreeroon aur tasveeroon aur hamari mazlomiyet,bebasi aur bekasi dunya ko dekha k apni NGO k liye imdad lainey se ziyadha nahi kia kisi k pas ye data mojod hey k saleguzishta main kitni khawateen ney baivgi ki chader orh li kitney bachey yateem huwey,tras khaney aur izzat dainey main farq hota hey hum tu wo hain jin pey jib bhi is muashrey main kisi ney nigah dali tu ya tu hawis ki dali ya taras ki dali,hum khatey hain,peetey hain,boltey chaltey hain mager hum zindha nahi hum Zamin pe Murdey ki trha hain jis k barey main log jald hi bhool jatey hain,hamri maa benain jub apney baitoon aur bhaiyoon k liye rishtey dhondney nikalti hain tu wo kabhi kisi baiva ko nahi daikhtin chahey wo kitni hi khobsurat,ba ikhlaq aur ba salahiyet kyoon na ho us k oper zindagi tamam khushyan haram ho jati hain kia us ki awaz bherra gai hey,aur wo khamoosh ho gai hey shayed apni aankhoon main aaney waley aansoon ko peeney ki koshish ker rahi hey, us ney chock ki taraf ishara kertey huwey kaha haan yehi wo jagha hey jahan aaj se do sal qabl maira shoher kisi injani goli ka shikar huwa usey tu ye bhi nahi pata tha k usey kyoon mara gaya wo tu mairi liye gajrey lainey nikla tha k usey gulab k pholoon k gajrey mairey hathoon main buhat achey lagtey they,main wo lamha kabhi faramosh nahi ker sakti jub main ney gher k darwazey pey usey hathoon main surkh gulab k gajroon ki jagha kuch logoon k hathoon main khoon se surkh kaproon main us ki lash daikhi aur phir us din se mairi tamam khushyan khatem ho gain aisi main akaili nahi aisi khawateen hum her saal hazaroon ki tadad main taiyar kertey hain,in dehshat gerdoon ki samajh main ye kyoon nahi aata k is firing ki zed main un ki apni maan aur behan ka suhag bhi tu aasakta hey aur phir un se barey dehshat gerd tu hamarey itraf k log hotey hain wo dehshat gerd tu hamin sirf ek bar martey hain mager ye hain ta zindagi martey hain kisi ko hamari khushi ka koi khyal nahi hota kisi ko na hamari aahain sunai daiti hain na hamri rohoon ki chikhain mujhey is muashrey se koi umeed nahi mager main apney rab se na umeed nahi wo hamarey liye wo Tulo-e Seher zaror laye ga hum jis k intizar main hain.
Wo chali gai main jo us ki taqreer sey pehley us k husn k seher main griftar tha ye jan k k wo ek baiva hey ab is seher se baher aa chukka tha k aakhir main bhi tu aap logoon main se hi ek hoon koi juda tu nahi.