03-08-2011, 09:26 AM
Assalam o Alaikum
Women's day k uper likha hai
I wish ise parh k koi aik adh banda theek ho jaye ameen:dua
Aik nya suraj ubhar raha hai,nye din ki amad yaqeeni hai aur main mashriq se nikalte suraj ki tarf nazrain tikaye soch main gum hun kya waqai ye nya din hai? Ya aaj mujhe meri sanakht mil jaye gi ya mehaz 24 ghanton ka ye chota sa din mehaz alfaaz k khelnay main guzar jaye ga? Kuch malum nai na koi jawab hai na koi umeed,aj akhbar k pahle safhe main rang rang ki roshnayi se aurat zaat ko khiraj pesh kiya jaye ga aisa khiraaj jis ka haqeqat se koi wasta na ho ga. Mehaz apni rooh k ablun pe marham rakhne k lye ya naam-nihad dawon k lye manaya jane wala ye din bi guzar jaye ga aur saal k baqi 364 din phr wohi cheekhain, ilzaam,ta'aney, kosnay,burayiyan aur is dil ki wahsatain.. Jin ki main tanha saathi hun na koi humdum na koi bojh bantne wala. Aisa nahi k main ne koi gunah kya hai mera sub se bara gunah tu meri khamoshi hai,mera wajood hai. Ye rang rang k perahan lapaitay, masnuyi muskan wali kon hai Jo aainay main dikhayh deti hai tu main nazar chura leti hun. Meri tareef main likhi aur parhi jane wali tehrerain,nazmain, khabrain,kahaniyan bohat si hain lekin meri tishnagi in sub se kaise mitain? Meri sama'atain tu mehaz un khushnama alfaaz ki khuwaish mand hain jo dil se nikle hun. Maaf kijye ga itni behas krne lagi magar apna ta'aruf karana bhool gyi.. Main kaun hun? Soch main par gyi hun kisi shayar ki nazm sunayun ya tehreer k jumlay k jo mujhe biyaan karain ya phr wo sub kahun jo kitne saalun se sunti,daikhti arhi hun? Main aik aurat hun, aik aam si aurat jis k hathun kayi khaas naslain parwaan charhi hain magar mera wajood phr bi aam hai. Main wo paras hun jis ne kayi naslun ko sona kya magar khud abi bi mehaz aik pathar hun. Kisi ki zuban se bewafa hun tu kisi ki soch main jaffa wali, meri ankhun ka lahu meri zaat ko surkh kar gya hai magar main wafadar nai kahlaye jati kyun k main ne Kisi aik wafa pe bohat si wafayain qurban hone se bacha li hain. Mujhe khud apni zaat ko dushman kaha jata hai,shayd theek kahte hain magar apni zaat ko suli pe charhane wale kaun hain? Ye koi maan kar bi nahi manta. Main aik khilona hun,kis dhaat ka khilona ye abhi tah nai hua.. Mujhe aik nasal parwan charhate hue hazaar thokrain mari jati hain, naslain parwan char jati hain magar meri zaat kisi kone main reza reza ho kar khaak ho jati hai. Main maum ka sancha hun jo kabi beti,kabi behan,kabi bewi aur kabi maa main dhal jata hai aur phr bi mujhe kam-aqal aur apni ana main qaid kaha jata hai. Main safal-gar ko wo pyala hun jis ki dararun ko khush-numa bail boton se sajaya jata hai takay daikhne wala apni ankhain thandi kar sake aur apni rooh sairaab.. Kabhi main sochti hun kash main us zamane main aurat hoti jub Aurat ko aik besh-qeemat shay ki tarha sambhala jata tha. Baap se le kar beta tak meri Izzat ko fakhar aur mere aisaar ko sachayi mante the. Wo galiyan jahan ki khaak main aj tak Wo rooh-parwar manazir saansain lete hain aur aurat ki dastan-e-hayat ehteram se sunate hain. Hazrat Fatima R.A se hoti hui wo Aurat jo aaj bekasi ki halat main hai phr bi khud pe rangun ko jamghata sajaye phirti hai. Haan main usi aurat se hun,wo k jo Janat ki Sardar kahlayi jati hain, wo jo Pakistan bunte bhai ka hath batati hai,wo jo Islam qabul krne k bad Apne khawand k hathun aik alam-nak haadse main mari jati hai,wo jo ghar ko cholha chalane k lye kayi gharun main jhoote bartan dhooti hai,wo jo subha subha sabzi bechne nikalti hai han aur wo jise ye ma'ashra kabi bewafa kahta hai tu kabi bawafa, kabi payun ki jooti kabi sar ka taaj, kabi naslan ki ameen tu kabhi aik gali. Mujhe ye 24 ghante nhi chahye,muje 365 din main se 1 bi din nahi chahye mujhe sirf wo fakhar aur izzat do jo Quran-e-Pak main hai.Mujhe in alfaaz ka kya karna hai? Mujhe tu mehaz aemaal chahye, wo aemaal jo tanhayi aur mehfil dono main aik se hun. Mujhe phool aur chand ki tashbeeh khudara mat do,mujhe mehaz ehsaas rakhna wali matti samajh lo. Mujhe nazron ki maar nhi ehtaram chahye, mere wajood ko daaghdar karne wali gali nahi izzat ki chadar chahye. Mera wada hai main tumhari naslon ko pak aur saaf karun gi, har aziyat-nak raste pe barr lagayun gi bus mujhe wo sub de do jo tum apni mayun,betiyun,behnun, bewiyun ko daite ho magar ghair ki nhi..
~Main aik Maa hun
Main aik Behan hun
Main aik Bewi hun
Main aik Betii hun
Main Tumhari Izzat hun
Han Main Aik Aurat hun
Sirf Aik Aurat hun~
H.Malik