03-20-2008, 07:49 AM
Meri zindagi to firaaq hai, wo azal se dil mein makeen sahi
Wo nigaah-e-shauq se door hain, rag-e-jaan se laakh qareen sahi
Hamein jaan deni hai ek din, wo kisi tarha, wo kaheen sahi
Hamein aap kheinchiye daar par, jo nahi koi to hameen sahi
Sar - e - toor ho , sar - e - hashr ho , hamein intezaar qubool hai
Wo kabhi milein, wo kaheen milein, wo kabhi sahi, wo kaheen sahi
Na ho , un pe jo mera bas nahi k ye aashiqi hai hawas nahi
Main unhi ka tha, main unhi ka hoon, wo mere nahi to naheen sahi
Jo ho faisla wo sunaaiye , ise hashr par na uthaaiye
Jo karein ge aap sitam wahaan, wo abhi sahi, wo yaheen sahi
Usey dekhne ki jo lau lagi to Naseer dekh hi lein ge ham
Wo hazaar aankh se door ho, wo hazaar parda-nasheen sahi