05-10-2010, 02:58 PM
Aadaab arz hay
Aik taza tareen ghazal
k sath hazir hooN
![[Image: attachment.php?attachmentid=4726]](http://forum.urduworld.com/attachment.php?attachmentid=4726)
Chobaara daikhne ki aarzu hay
Dil aara daikhne ki aarzu hay
Shab-e-zulmat chunida maiN sapida
Ishara daikhne ki aarzu hay
Samundar phailta hi jaa rha hay
kinaara daikhne ki aarzu hay
Sar-e-raahay jise ik baar daikhaa
Doobaara daikhne ki aarzu hay
HamaiN ehsaas ki taarikiyoN maiN
Sitaara daikhne ki aarzu hay
Tere dil ki har ik dhaRkan pe apna
Ijaara daikhne ki aarzu hay
Muhabat ki talab hay phir se, jaise
Khasaara daikhne ki aarzu hay
JahaaN se ishq raanjhay ka uTha tha
hazaara daikhne ki aarzu hay
bachaa le doobte ko jo bil aakhir
sahaara daikhne ki aarzu hay
Huway haiN khwaab saare raakh laikin
Sharaara daikhne ki aarzu hay
KaraiN shabnam kay qatray WARD bosi
nazaara daikhne ki aarzu hay
WARD BAZMI
Aik taza tareen ghazal
k sath hazir hooN
Chobaara daikhne ki aarzu hay
Dil aara daikhne ki aarzu hay
Shab-e-zulmat chunida maiN sapida
Ishara daikhne ki aarzu hay
Samundar phailta hi jaa rha hay
kinaara daikhne ki aarzu hay
Sar-e-raahay jise ik baar daikhaa
Doobaara daikhne ki aarzu hay
HamaiN ehsaas ki taarikiyoN maiN
Sitaara daikhne ki aarzu hay
Tere dil ki har ik dhaRkan pe apna
Ijaara daikhne ki aarzu hay
Muhabat ki talab hay phir se, jaise
Khasaara daikhne ki aarzu hay
JahaaN se ishq raanjhay ka uTha tha
hazaara daikhne ki aarzu hay
bachaa le doobte ko jo bil aakhir
sahaara daikhne ki aarzu hay
Huway haiN khwaab saare raakh laikin
Sharaara daikhne ki aarzu hay
KaraiN shabnam kay qatray WARD bosi
nazaara daikhne ki aarzu hay
WARD BAZMI