Kasoor kis ka hai...
"Firqa bandi hay kaheen aur kaheen zatein hain
kya zamane mein panapne ki yahee batein hain"
"Hawas ne tukre tukre kar diya hay nau insan ko
ukhuwwat ka bayan ho ja mohabbat ki zaban ho ja
ye Hindi, wo Khurasani, ye Afghani, wo Turani
tu ay sharmindayeh sahil uchhal kar bekaraan ho ja"
"Tum syed bhi ho Mirza bhi ho Afghan bhi ho
tum sabhi kuchh ho batao ki musalman bhi ho"
Kasoor kiska hai agar aajkal dushmani aur nafrat sar chadh ke bol rahi hai....Nafrat nibhane wale bahut kyun ho gaye...musalman sahi mayne maiN musalman kyun nahiin raha....Mohabbat se rehNe wale woh musalman kahaN hai aajkal ....shayad iski ahmiyat ab khatm hoti ja rahi hai.. Insaan ko saleeqa - e- mohabbat na raha... Nafrat, dushmani jaise aam se b aat hai.. zahir hai yeh duniya hai...yahan yeh doNo jazbe milengay......warna yahiN Jannat hoti.
Nafart ka ilaaj kya hai aaj....insaan kyun ek dusre ka dushman ho gaya...mere khayal se iska assaN raastha jo hai woh hum bhul gaye... Woh rasatha jo humeN Quran e Pak aur Sunnat -e -Rasool(saws) ne bataya hai ... yehi ki..." Ek dusre se mohabbat karo sirf Allah(swt) ke liye.."
Sabse ahem zarurat jo aaj insaan ko chahiye woh hai "Sabr" aur "Maaf" karne ki adat....yeh dono se sab kuch ho saktha hai.
Har cheez ka zimmedaar Insaan khudh hai.....Dushmani ke wajah bhi yehi hai ki insaan aaj kal apni khudhi se, apni ana se, khudh se zyada mohabbat karne laga hai.....woh dusroN ka baad maiN aur khudh ka pehle sonchtha hai.....insaan khudhgarz ho gaya hai...Jhoot bahut bolNe laga hai...log deen se hat rahe hai.....isliye aisa ho raha....yeh aajkal ki baat nahini hai har daur main yeh hua hai....shayad aajkal zyada ho gaya.. ya hum is daur ke hai tho humen lag raha hai aise halaath aajke daur ke hai .. waqai hum sab deen se dur ho rahe hai ..
Mohabbat ek aisa jazba hai jisse hum jitna baantain woh uthna hi phaila hai .. uski kami kisi bhi daur main nahin hai...bus insaan mohabbat sahi nibha nahin pa raha hai.....uski ahmiyat ko samajh nahin pa raha...woh koshish nahin kartha...rishthon ko , jazboN ko, ehsaas ko ahmiyat nahin detha hai....woh khudi main hi simat ke rah gaya....woh har cheez kar raha hai lekin be-laus mohabbat nahin.......bhul rahe hum sab humare woh sab rishthon ko, unki ahmiyath ko, humare farz ko......Khudha se mohabbat hi humari zindagi ki buniyaad hai.....hum is baat ko jhutla nahin sakthe ki daawe tho is mohababt ke hum sab hi karthe hai lekin amal iska nazar nahin atha hai...aur insaan ke paas iska asaan jawab hai ..yehi ki waqt nahin hai...sab daud rahe hai duniya ko kamyaab karne main...ek dusre se aagay badhne maiN...dusre ko peeche chodne maiN....sirf apnI khwahishat poori karne maiN hai...apNe nafs ke jung aaj insaan haar chuka hai.. ya yeh kaha jata hai insaan koshish hi nahi kartha hai .. woh Maut ko bhul chuka hai . .woh samajhtha hai bus yehi zindagi hai yehi duniya humari sab kuch hai .. aur duniya main bhi sirf "Main" sab kuch hun.
Aisa nahin ki har insaan aisa hai.... maine dekhi bhi hai aisey kaye insaan jinke rishthoN main mohabbat ,khuloos hai.. woh mehnat karthe hai apNe rishthe sanwarne maiN....khuloos badhane maiN....Allah ko raazi karne maiN..Allah ke liye...aman ke liye....bus iski shiddat se kami hoti ja rahi hai.
Yeh koi mushkil kaam nahin hai.....humeN bus yeh sab karne ka jazba chahiye...jis tarah aajkal log dushmani nibhana chahthe hai...wohi koshish aur mehnat Mohabbat baantne main lagaye tho yeh duniya bhi khoobsurat ho jayen aur aapki akhirat bhi sanwar jayeN...
Apne deen par yakeen rakhne ke saath usay amal maiN layen...Phir dekhaiN duniya se nafrat kasie gayab hoti aur har jagah sirf Mohabbatein hogi...Yeh baateN humare deen maiN saaf bata di gaye hai....Insaan amal nahin kar raha.
"Dile murda dil naheen hay ise ziNda kar dobara
ki yahee hay ummaton ke marge kuhan ka chara
Kaye Hadith-e- Mubarika aur ayat -e-Quran se yeh saabit hai ki....Insaan ko rishthe nahin thodne chahiye...mOhababt aur khuloos baantna chahiye....jhoot na bolaiN...ek dusre se hasad na karaiN...ek dusre ki madad karaiN...nafrat se zindagi na jiya jaye...Yeh Allah(swt) ka hukm hai.
WOh shaks jo jannat maiN daakhil hona chahtha hai..khudha ne saaf kaha hai..'Tum apNe sabhi bhai-behan se payar karo meri khaatir"....ek dusre ko "Salaam" ka paigham daiN...ek dusre ke liye woh karaiN jo khudh ko pasand ho.....Kya hum yeh kar rahe hai..isay maan rahe hai..?
"Gar tu mi khahi Musalman zeestan neest mumkin juz ba Quran zeestan"
Jawab iska hum khudh se poochengay... ungli hum aaj khudh par uthayengay ... aur iska jawab bhi hum khudh dengay....bina yeh sab kiye aur sonchaiN....hum kaise kah sakthe hai aajkal jo ho raha woh kyun ho raha......kyun itni nafraten hai musalman bhai -behan maiN...kyun sab khudhgarz ho gaye ..Iska jawab bhi humare paas hai aur raastha bhi....dusre ko ilzaam deNe se pehle, kabhi khudh sonch kar dekhiye aur poochiye yeh sawal khudh se ki maine kitni koshish ki sab kuch theek karne ki .. maine kya kiya hai aaj apne deen ke liye, ,apne watan ke liye,, apne musalman bhai-behan ke liye.. .. Sonchiye !
Yehi sach hai aur yehi sachchai....agar yeh sab insaan samajh laiN...tho na dushmani main waqt zaya hoga na kisi aur galat kaam maiN...."Mohabbat , Khuloos hi insaan ke har sawal ka jawab hai...har masle ka hal hai..."
Apni parwaaz e takhayyull thi zamaane se judaa
Jis jagah koi na pahunche wahaan tak pahunche
Main samajhthi hun har dil maiN khudha rehtha hai
Mera paighaam hai mohabbat jahan tak pahunche
Thanks
Muskaan