09-20-2010, 10:05 PM
Shetan bhi sharmata hai
Prof Riffat Mazhar
Mout se kisi zirooh ko jaey faraar nahi.
Yeh attal haqeeqat hai.aur har haalat
mein aaey gee.Jo ghari aur Jagah Allah
ne muta'yan kr di hai osi par.aur oss
jagah par mout insaan ko kisi na kisi
bahane kheinch le jati hai.Ho sakta hai
k umar e Nooh paein ya phir wohi saans
tumhari aakhri saans ho.Tu phir kyon na
iss chand roza zindagee mein insaan aik
doosre k saath mil jul kr rahe.Aur yeh
sab tu sirf iss soorat mein ho sakta hai
k insaan apne maqsad e takhleeq ko samjhe.
Akhuwaq o Mahubbat ko apna shuaar banaey.
Apne faraeiz e mansabi ko pehchane.aur
sath hi doosron k huqooq ko bhi tasleem
kare.Apne aap ko Mazhab , Ikhlaaq aur
qanoon ki teh shuda hudood mein muqayyad
rakhe.Allah ki makhlooq se pyaar o mahubbat
ka rishta qaeim rakhe. Oss k dukh dard ko
apna dukh dard samjhe .Yehi oss ka
maqsad e Takhleeq hai aur rouz e mahshar
waseela e najaat.
Leikin Haqeeqat iss k baraks hai.
Pyaar o Mahubbat ka dour guzar gya .
"Abb dhoond osey rukhe zebaa le kar".
Agarcheh insaan ne har shu'ba e hayaat
mein taraqqi ki intehaee manzilon ko chho
liya hai.Aur sciencee ijadaat k ba'as har
qisam ki sahooliyaat se behrawar bhi ho
raha hai.
Leikin kitni bad naseebi ki baat hai k aaj
ka insaan dumya ki nazron mein taraqqee
yafta tu kehlata hai magar oss ko insanon
ki tarah rehne ka saleeqa nahi aaya.suna hai k
Jamhoori qadron ki paasdari ki jati hai....
Qanoon ki bala dasti hai....yeh sab mehez
kehne ki hadd takk hai .Pakistan ko hi
le lijey.Agar Jamhooriyat isee ka naam hai.
Aur qanoon ki bala dasti isee ko kehte hain
tu poochhye
"Justice Iftekhar Ch k phate hue coller se"
jin ko Sare bazar ghaseet kar Qanoon ki kis
tarah se dhajiyan uraee gaeen.Aur phir da'wa
karte hain Insaan ki azmat ka.
Magar haqeeqat tu yeh hai k aaj ka Insaan
Insaniyyat se bilkul aari ho chuka hai Dilon
mein Mahubbat ki jagah nafaaq ghar kar chuka
hai. Harr insaan raton raat ameer ban'ne k
khawab deikhta hai.Aur aala se aala mansab
par faaeiz ho jana chahta hai.Iss k liye
khawah osey wehshi hi kyon na ban'na pare.
Har tarah ki matlab barari oss ka
maqsad e hayaat bann chuka hai.woh aisa
lutera hai k doosron ki khushyon par daka
daal kar apne aangan ko masarton se mehkana
chahta hai. Insaan ki Izzat o asmat ki yon
dhajiyan uraee jati hain k osey deikh kar
shetaan bhi sharma jae.yon lagta hai k
Insaan aaj bhi Jungal mein hai.