09-20-2010, 07:21 PM
Ilm Mouman ki gumshuda meraas
Prof Riffat Mazhar
Irshad e Rabbi hai k oss ko jaan'ne wale oss k
aalam bande hain.
Aur farmaan e Nabvi hai k
Aik aalam hazaar abid par waqe'e hai.
aur iss mein kuchh kalaam nahi k
" Il'm moumin ki gumshuda miraas hai"
Leikin afsous sadd afsous k aaj k moumin nae iss
miraas ko talaash karne ka kaam ghair muslimoun
ko sounp diya hai.Aaj Europe aur America k
Scientists iss "Gumshudah" miraas e Muslim k
mutlaashi hain aur hum haath par haath dharey
muntazir e fardaa.....
Aaj agar poori dunya mein qoum e Muslim
paaya e aazar hai tu iss ki mahaz aur mahaz wajah
yeh hai k hum nae ilm se nata tour liya hain.Hum
agar ilm hasil bhi karte hain tu mahaz apni
sahooliyaat k husool k liye.Hum mein husool-e-ilm
ki woh sachi lagan hi baqi nahi rahi jo k hamare
aslaaf ka khasa thi.Aur haqeeqat tu yeh hai k hum
Allah Ta'ala k iss hukm ..
" Dhoondo zameenon aur aasmanon mein "
se yaksar roogardani kar rahe hain.aur yehi wajhe
hai k hum aaj ja-baja ruswa ho rahe hain.Kia yeh
baat qoum-e-Muslim k liye taazyana nahi k aaj
Science nae Qura'an-e-Majeed Furqaan-e-Hameed k
harf harf ko such kar dikhaya hai.Leikin iss
sachaee k alam bardaar hum nahee hain balkeh
"Europe aur America" hain.Kia yeh Qoum-e-Muslim
k liye ba'as-e-na'ng nahi k Allah Ta'ala nae
hamein dunya jahan ki har ne'mat se nawaza hai
leikin Europe aur America hamari in'hi ne'meton
se mahaz hamari kam ilmi aur kour aqali k sabab
mustafeez ho rahe hain aur hum apne hi khazanon
k liye onn k saamne bhikari baney bethe hain.