09-04-2010, 04:07 PM (This post was last modified: 09-04-2010, 04:10 PM by Basit.)
Roshni sahiba aap ka column parha, acha likha magar kaya hai keh hum qoum kabhi bhi nahi rahay, qoum "parast" rahay. aur Allah swt nay shirk karnay waloon ko sab say ziada napasand kiya hai. Magar hum kamnaseeboon nay jamaat parasti ki, kabhi tu kabhi zubaan parasti, aur kabhi firqa parasati, yaani keh hum nay taqseem dar taqseem hoo keh khud ko tabbah kar dalla.
Aap nay leedraan ki hamaqatoon pay awaam ko miltay azaboon ki babat gilla kiya, aap mujhay bataiyeah agar azaab ka dard itna hee hai tu jab yeah azaab (Mr. Gawiyaa in UK, Mr. Qassai in UK for past several years and current Mr. 10% aur uss ka tootla) hum pay musalat kiya jaa raha tha tu yeah awaam ghaas khaa rahi thi ? jin loagoon mein hosla nahi hoota, jin loagoon mein lar marnay ki khawahish nahi hooti, jo loag inqalaab say dartay hein, un kay naseeb mein zillattein aur ruswaiyaan howa karti hein, aur humari qoum yeah sab guzishta kayee dehaiyoon say kar rahi hai, aur hum yeah sab karnay wallay karta dhartaaoon ko sir pay charhaye baithay hein. Ghar say kiyon nahi nikaltay? Ghazab kiyon nahi dhaatay ? Hashar kiyon nahi uthha detay ?
Agar yeah sab nahi kar saktay tu chup kar kay sehna seekh lijiyeah, keh abhi tu azaab utray hein, jatay jatay hee jayain gai.