03-09-2007, 04:00 PM
zara si aurat
aurat ... aik hasti kai naam kai rishtey... beti, behen, biwi... maa
kehtey hain k beti rehmat hoti hai... kiya ye sach hai?? agar rehmat hi hoti hai tu kai log isey zehmat kyu samajhtey hain ... wo bojh jisey uthatey uthatey waqt k saath baap k kandhey jhuktey hi chaley jatey ahin ... aur wo maa jo sirf betiyaa.n hi paida karne ki saza waar tehraai jati hai us ka sar hamesha Khuda jane zameeni khudaoo.n k aagey kyu jhuka rehta hai?
kehtey tu ye bhi hain k behen bhai ki izzat hoti hai per aksar is izzat ko hi izzat k naam pe qurbaan kar diya jata hai... Khuda jane kyu?
aur kaha tu ye bhi gaya hai aurat bahasiyat biwi mard ki khaiti hoti hai...per aksar apni khaiti ko apney hi hathoo.n ujaar diya jata hai.. Khuda jane kyu?
aur maa ... kehtey hain k maa k qadmoo tale jannat hoti hai... per kehtey hain.. jantey hain.. per manta koi nahi... maan bhi jain tu us jannat ko hasil koun karna chahta hai... us jannat ko chor k hum apni khud sakhta khud fareebi ki banaai gaii duniya ko tarjeeh detey hain... Khuda janey kyu?
aurat ... jis ka khameer Khuda-e buzurg-o bartar nay mohabbat aur qurbani sey banaya hai... jis k dam qadam sey tasweer-e kainaay main rang hai... aur koi agar mujh sey pochta hai k khoobsurat kya hai... tu main hamesha kehti hon k ... mard ki aik gehri nazar, bachey ki khilkhilahat aur aurat ka rotey rotey hans parna khoobsurati hai... merey nazdeek tu khoobsurati ki is sey barh k koi tareef hai hi nahi... tu wo aurat jo mohabat hai, sara sar mohabbat... usey itna kum tar kyu samjha jata hai? k use ashraf ul makhlooqat ki jaga hasrat ul arz sey bhi kum samjha jata hai... main yahan wahan ki baat nahi karti... sab jaga aurat ko aik zaat aik hasti nahi samjha jata ... usey aksar sirf aur sirf jism kyu samjha jata hai... Khuda tala nay kaha k aurat aur mard aik dosrey ka libaas hain... tu mard nay usey libaas hi samajh lya... k zara shikan pari utara aur phaink dala aur doja pehen liya...
aurat mohabbat hai sara sar mohabbat... per mera har giz ye matlub nahi k aurat farishta hai ya parsa ... wo tu aurat hai ...... zara si aurat... jisey jevan bitane k wastey zara si mohabbat zara si izzat kaafi hoti hai... per wo zara si mohabbat aur izzat usey milti nahi.... wo chahey kuch kar ley... ghairat k naam pe qurban kar di jay ya izzat k wastey qurban ho jay.. rehti wo zara si aurat hi hai... bas zara si aurat