06-11-2007, 03:37 PM
Salaams:
Is mah ke Muqable per nuzur peri to apni khud ki net beeti ka khiyaal aa gaya. Pata nahin yeh kahani net beeti per fit bethti hai ke nahin...khair, dekhte hain.
Is kahani ke characters asli nahin hain, to nuqli bhi nahin hain...waqeyaat ussi terha paish kiye gaye hain jaise ke huwe they.....well, thori si fiction to allowed hi hai naan serkaar :tea...mulahiza fermaaiye.
[align=left]- " To mela baita kiya kel reha hai is wele? "
->" Burger shurger, u know...acha tha..."
- " Achi baat hai, khali pait teri shukel bilkul waisi ho jati hai...jaise......."
->" Haan bus theek hai...no need for a reminder (maine kuch jul bhun ker keha, husb-e-adut).
- " Ha! abe apna khoon to na jula.....haan aik news thi"
-> " Ke tere buche nain matric fail ker dee hai "
[SIZE=3][FONT=Lucida Console][COLOR=sienna]- " Abe woh purani ho geyi....sun... Technische Universit

___ Aik Net BEETI ___
"Kiya kerain...kiya kerain...yaar kahan phuns gaye hain...kiya kerain...isshhhh...."
Jub aap bhi kissi airport ke transit lounge main 14 ghunte atke rehain to aap ke bhi yaqeenan ausaan target se khuta ho sekte hain...jaise ke Istanbul ke Ataturk Airport per mere ho gaye they... Ajeeb si kaifiyyet thi...Go ke abhi 14 ghunte ho chuke they, mugur transit lounge ke anqareeb khul jaane ki koi ummeed nazar nahin aa rehi thi. Tufani hawaain, us mai aap burf ke mote mote gole peros lain aur saath hi her aik aadh ghunte ba'd rim jhim, nahin, rim jhim nahin, bulke jhula jhul kerti moosladhaar barish ka aik tea spoon add ker dain, is ajeeb si haandi ko faburary ke thunde yukh tuwwe per pukaain, to jo cheez bun jaaye gi, woh ajeeb si cheez us din ka mausam kehlaye gi.
Woh to shuker hai ke lounge khucha khuch bhura huwa tha, jis ki wejha se mere naseeb main koi kursi, maiz yaan moltyfoam bed nahin aa seka...merte kiya na kerte, apne chote se laptop ki lap per hi pare rehe. Go ke central airconditioner nain humain bahir ki haibet se yukser bekhuber rukha tha, laiken zameen apne hisaab se phir bhi zameeni thi.
16 ghunte, aur bhook se maare shukel aisi ho geyi jaise bush ki ho geyi thi; jub woh munhoos paida huwa tha na, haan bilkul waisi. Main phir se utha, ghaliban mera koi durjunwaan chukker tha transit lounge ka, ghoom ghoom ker phir waheen aa jate jahan se ghoomne ki jasaaret ki thi. Burger city jo ke ooper ke floor per tha, tha to us waqt bhi waheen, yaani woh abhi tuk waheen tha jahan 16 ghunte pehle tha...mugur main wahan nahin tha, wahan hone ke liye khase paison ki zarooret thi, aur maine tuhaiyya kiya tha ke nahin (2 ghunte pehle tuk), paise khurch nahin kerne, kumbukht semester ka suteyanaas ho jata hai (Yeh mere 7 semesteron ka tujruba keh raha tha, aur saatwen semester tuk yehi tujruba reha...khair se). Laiken pait ki awaaz mere zameer ka gala ghont chuki thi, aur ab maine bhi apne nufs ko aik burger aur chips ki nuzur ker reha tha, me haal-e-musti-o-dheetpuna.
Waheen jahan main apni iftaari main juta huwa tha, saamne hi counter per aik ad per nuzur peri, turkce main likha tha ke aap burger ke saath saath WWW ke bhi muze leejiye beth ker, for free. Maine nuzrain ghumaain, kaheen koi kursi na mili, choonke main khud stand per khure ho ker musroof-e-ghiza tha...to net to beth ker ist'maal kerna tha naan yaar, haan to is liye maine zara aik adad kursi ki jatan ki.
Loh jee, waqqar miyaan, urf KHURPAINCH online they. Yaqeenan web main kaheen andhe andhere teer chula rehe honge, churre jo they, laiken bala ke meesne bhi they. Records ke liye, un ka C.G.P.A 4.00 tha aur yeh un ka aakhri semester tha, meri terha. Main apni C.G.P.A na hi butaaon to behter hai.....
Haan jee to salam dua ke ba'd "Oye kub nikulna hai tu nain..." Waghaira. Kiyoon ke woh pehle hi airport ka aik trip luga chuke they 14/ 15 ghunte pehle...Aur jutana bi tha ke rah-e-yaar main kitni mushkilon ka saamna kerna per reha hai unhain, flan flan. Maine murrawwatan keha ke aate huwe turkish delight khareed laon ga duty free se, khaas un ke liye, ab moon aisa na bunaiye, waise jaisa tha waise bhi khasa moon hi tha. Woh kahan meri sunte...woh rishte main mere daddy hurgiz nahin they, mugur woh mere peer-o-murshid hone ki full qualifications le ker paida huwe they. Aur main dil ke kissi kone khudre main un se kuch kuch hasad bhi rukhta tha...shhh...aapis ki gul hai jee.