01-09-2007, 05:07 PM
'' Khass Kam Jaha'n Paak ''
,,Kiya museebat he,ye kown bell par haath rakh kar bhool gaya he?,,me jaldi jaldi toliye se haath saaf karti main door ki taraf muri.
eye door se jhaanka to Mrs.Sarosh jin ko me ''saresh'' kehti thi( kiyu'n k wo ghanton meri jaan se chipak jaati thein) khari thein.dil to chaha k bell bajney doon,khud hi thak kar chali jaaein gi lekin 3 saala Fahad jo itni mushkil se soya tha,wo bell ki aawaaz se uth jata.
me ne baa dil-e-na khuasta ghar ka darwaza be dili se khol diya.honton ko zabardasti khench k muskurahat ki shakal deti hui boli.,,arey aap,,aaiye aaiye,me ne raasta diya.arey saath me beti Natasha bhi he.(kambakht bilkul batasha lagti he,safead mooli jesa rang,safead hont oor chapti pahiyya phiri naak dekh kar mujh ko batashey ki yaad aa jati thi)
me un ko liye drawing room ki taraf qadam barhaney lagi oor duzdeeda nazron se 11 sala batashey ko dekhney lagi,abhi maasi ne poncha lagaya tha oor wo apney gandey shoes se farash par nishaan banati hui apni ammi k saath drawing room me sofey par beth gai thi.
,,arey mrs.Sarosh,aaj aap kiya le aaein?,,
,,Allah karhi pakai thi,socha aap ko bhi de aaun.,,
unhon ne donga meri taraf barhaya.me ne oopri plate hata kar karhi dekhi oor bari mushkil se ubkaai ko roka k zindagi me pehli martaba harey rang ki karhi dekhi thi.
,,shayed ghans se baghaar kar laai hey.,,me ne dil hi dil me socha.
,,bohat shukriya.aap hamesha bohat lazeez khaney pakati hein,bohat zaaeqa he aap k haath me.,,
hamesha un k laaey huey tajreedi namooney me bagher chakhey hi maasi ko de deti thi.
,,aap bethiye,me abhi aai.,,ye kehti me kitchen me chali aai oor Saresh oor batashey k liye be dili se rooh afza gholney lagi.,,kambakht har doosrey din moon uthaey chali aati he,ghar me deeda hi nahi lagta.har waqt is tarha bani sanwri rehti he,jesey kisi taqreeb me janey wali ho.baal baal sanwra huwa.nafasat se pehna fitt libaas,har cheez maching ki,face pe saleeqey se jama jamaya make up.hamesha us waqt aati he jab Ahmad k office se aaney ka time ho raha ho.me ne dehel k wall clock ki taraf dekha oor ye shuru ho jaey gi.Allah Ahmad bhai wallah Ahmad bhai,,
oor in k jaaney k baad mujhey Ahmad ka 100 martaba ka diya hua lecture phir se sunna parey ga k 3 bachon ki maa hein or apna kitna khayaal rakhti hein.ghazab ki smart hein oor apna aap kis qadar sanbhaal k rakhti hein.aik tum ho k aik bachey k baad hi pheal gai ho.kitni martaba kaha he k maasi se har kaam karwa liya karo magar poncha khud hi lagaya karo k is se jism banta he.achi bhali shakal ko majaal he jo kabhi sanwaar hi lo.sirf ghar se bahar jatey waqt honton pe be dili se lipstick laga leti ho warna to ujri pujri hi nazar aati ho.
oor ye batein sun kar mera dil saresh ki taraf se ghussey oor hasadd se bhar jaata.me Ahmad ki batein suntey huey saresh ko faraakh dili se kosti rehti.intehai bani hui aurat thi,mujhey aik aankh na bhati thi lekin aik hi block me rehney ki wajha se wo jab dekho moon uthaey chali aati.
,,Irum plz,takalluff matt kijiye ga.,,un ki intehaai bani hui mutarannum aawaaz ne mujh ko chownka diya.me ne maasi ko zaroori kaam samjhaey oor tray saja k drawing room ki taraf barh gai.
,,Allah,me to bas chandd minut ko kharey kharey aai thi.,,wo saji hui tray dekh k mazeed sofey pe late si gaein k 2 ghantey se pehley kahaan jaan chorein gi isi liye me un ko saresh kehti thi.poorey block me aik me hi to be waqoof thi k dil me bura bhala kehti thi lekin is qadar ba murawwat thi k har doosrey din tray cheezon se saja k un k aagey rakh deti thi,warna to block waley kahan un ko moo'n lagatey thay.
,,arey nahi,aap bethein,aap ka apna ghar he,bas Ahmad aaney waley hein to me maasi se kaam khatam karwa rahi thi.aaj un ka half day hota he na.,,
,,chalein acha huwa me karhi le aai.,,wo pastry khatey huey bolein,,Ahmad bhai showq se kha'lein ge.,,
,,han wo zaroor tumhari ulti ki shakal wali karhi khaein ge,wo to ab maasi k shoper me muntaqil ho gai he.,,
,,Sarosh bhi jab Saudia se aatey hein,farmaish kar k pakwatey hein k tumharey haath me bohat zaeqa he.,,wo apni do balisht ki kamar me100 ball de ka ithlaein.
,,arey aap kuch lein.,,me ne teesri pastry un ki plate me muntaqil hotey dekh k kaha.
batasha,daal moth aadhi plate me or aadhi carpet pe gira rahi thi,me ne dheerey se kaha,,.Natasha beti plate qareeb kar lo.,,
,,bachon ko tokna nahi chahiye,me to kuch nahi kehti hu'n warna bachon me ehsas-e-kamtari aur eatmaad ki kami waqey ho jati he.,,unhon ne mujhey toka oor me jal kar khamosh ho gai.
aakhir jab poori tray qabristan ki shakal ikhteyaar kar gai to wo janey k liye khari ho gaein.
,Irum,kabhi tum bhi to merey ghar aao na.,,
,kambakht tum aaney ka mowqa do gi to me aaun gi na,har doosrey din to tum aa jaati ho,me kab aaun aakhir?han tum kahan meri tarha be waquf ban sakti ho.,
,,ji zaroor aaun gi,bas Fahad ki masrufiyat hi easi he k time nahi milta.,,
,,Allah,zaroor aaiye ga,me intezar karun gi.,,wo batashey ka haath pakrey rukhsat ho gaein.
me ne maasi ki muthi me paisey dabaey k dobara poncha laga k drawing room ki dobara safai kar'de aur khud kitchen ki taraf dowri.
meri shaadi ko 4 saal ho chaley thay.me bohat khush shakal aur intehaai saleeqa mand thi.shaadi se pehley khasi smart thi.Ahmad pehli nazar me hi ghayel ho gaey thay lekin Fahad ki peidaish k baad me thora farba ho gai thi.jharu ponchey se shuru se hi chirr si thi,baqi har kaam bohat showq se karti.ghar itna saaf suthra rakhti k aainey ka gumaan guzarta.Ahmad ko hil k pani bhi na peeney deti lekin Fahad or ghar k kaamon me buri tarha masroof rehkar me apna dhiyaan na rakh pati thi.aur Ahmad din raat mrs.Sarosh ki misalein detey k Sarosh sahib Saudia me hein,tab bhi ghamm ki aik jhurri nahi pari,un k zimmey daariyan bhi khud uthati hein.tum ko to kabhi tofeeq nahi hoti k un k ghar bhi jhaank lo k mehelley me rehney k bhi towr tareeqey hotey hein,wahi aati rehti hein.
,,to na aaya karey,me kiya daawat naama bhejti hun.,,me jal bhun jaati.
,,tum se age me bari hein lekin abhi tak kitni smart hein.saji sanwri,khata khat chalti phirti hein,,oor aik tum ho.,,wo phir mujhey farba honey ka taana detey oor poncha laganey ki takeed kartey.me jall kurh kar dil hi dil me saresh ko khoob bura bhala kehti.
.........................,,suniye,office janey se pehley mujhey backry se pine apple ka sab se chowta wala cake la deejiye ga,me mrs.Sarosh k ghar jaaun gi.,,
,,aaj barish na hojaey,kaan ajeeb.ghareeb batein sun rahey hein.,,Ahmad muskura diye aur me bhi hans pari.
garnet k bundey aur maroon suit pehen k me ne Fahad ki ungli pakri oor flate lock kar k bahar aagai.
dopeher k 12 baj rahey thay k me ne bell di,teesri bell pe darwaaza khula.
,,Allah Irum, aap----aap----,,aik chureil mujh se taqreeban bowkhla k lipat hi gai,,aaiye,aaiye na----itni subha aa gaein,kheriyat to he na?,,
,,lo ab me taar bhejti apney aaney ka.,,me ne ba ghowr dekha to raaz faash huwa k yehi mrs.Sarosh hein.
shalwar kisi aur rang or print ki,qameez kisi aur rang or print ki.wahi baal jo alag alag sanwrey rehtey thay,is waqt megi noodels ki tarha lag rahey thay.qasam se pehli nazar me to me qattan pehchaan hi nahi paai thi.bagher make up k aankhein bilkul chundhi lag rahi thein.kamaan daar bhanwein jo wo pencil se banati thein,is waqt taqreeban ghaeb hi thein,sukri hui skin or khushk pappri jamey safead hont.is huliye me wo smart nahi bal k khapacchi lag rahi thein.
drawing room me jagha jagha kapron k goley parey thay.seedhi ulti chapalein pari thein.khirki ka aadha parda zameen bous honey ko tha.sofey itney gandey ho rahey thay k shayed me chipak hi gai thi.mujhey to apney suit ki fikar ho rahi thi k us par dhabbey na lag jaaein.carpet shayed usi waqt dhula tha,jab company walon ne shop se us ko rukhsat kiya tha.jali hui istiri k nishaan bhi numayan nazar aa'rahey thay.saamney kitchen me se gandey bartan jhaank rahey thay.tv lounge k farash pe ghaleban chaey ya doodh gir k sookh gaya tha kiyun k wahan makhiyan farakh dili se aik doosrey ki kheriyat daryaaft kar rahi thein.
mrs.Sarosh intehai bowkhlai aur khisyaai hui thein aur aik kaprey ka gola utha kar merey qareeb hi beth gai thein.
,,wo,Irum,dar asl aaj kal bachon k school band hein to raat dair tak tv waghera chalta he.subha dair se ham loge uthtey hein.bachey to abhi tak so rahey hein isi liye me ne maasi ko bhi shaam ka keh diya he.tankhuah se ziyada hi paisey deti hun lekin aaj kal ki maasiyan safaai kahaan theek se karti hein.,,unhon ne mujhey jaaeza letey dekh kar ghabra kar kaha.,,bachey aur ghar ki zimey daariyon se thak jaati hun.ab ye dekhein raat ko tv dekh kar bachon ne yahan hi kaprey tabdeel kar k phenk diye.,,wo jaldi jaldi safaiyan pesh kar rahi thein k un ka sab se chowta beta Saqib bagher neker k bisoorta aa'gaya.
..ammi,me apney bister pe betha naashta kar raha tha,mera papa shariq ne cheen liya he,aap doosra de dein.shariq baar baar merey bister pe aa k mujhey tang bhi kar raha he.,,
Fahad jo intehaai tameez se betha huwa tha,hansta huwa tali bajaney laga.nanga nanga,shame shame,aur mrs Sarosh,abhi aai,keh kar Saqib ko taqreeban ghaseet'ti hui kamrey me le gaein.phir thowri dair me chataakh pataakh ki aawazein aaein oor bachey sur se sur mila k roney lagey lekin foran hi un ki aawazein band ho gaein( arey kahin ghussey me un ka gala hi to nahi daba bethein....)
wo khisyaai hui aaein,ab kafi sanbhal gai thein.,,Allah Irum aap pehli martaba aai hein.bethein,me abhi aai.,,wo kitchen ka rukh karney lagein to me daihel uthi k kahin gandi plate hi zabaan se chaat kar saaf kar k na le aa'ein.
,,mrs.Sarosh,aap bilkul takaluff na karein,is waqt to me bohat jaldi me hun.mujhey apni nand k ghar jana he.me to aap ka gila door karney k liye aa'gai thi,insha Allah phir kabhi fursat se zaroor aaun gi.,,wo mujh ko rokti reh gaein oor me chali aai.
ghar aa kar bhi me heraan hoti rahi k uff is qadar mutazaad tabiyat---bahar itni saaf suthri aur ghar me apna,bachon aur ghar ka ye hashar,acha huwa jo me chali gai.saari qalai khul gai.
Ahmad ne shaam ko poocha to me sirf itna keh k chup ho rahi k thowri dair k liye gai thi,bohat khush hui thein.
aaj Ahmad ka off tha aur wo abhi tak akhbaar parh rahey thay,jab k 12 bajney ko thay.me ne aik plate me 6 gulaab jamanein rakhein aur Ahmad se kaha,kal me ne nazar dilwai thi,ye aap mrs.Sarosh ko de aaein.
,,bhai,shaam ko de aaun ga.,,unhon ne angrai li.
,,lijiye shaam tak in ko Fahad chowrey ga,tab aap de kar aaein ge na,, Fahad uth gaya to haathon me latak jaaey ga k nahi me khaun ga.wo roz hi kuch na kuch paka k le aati hein.me khud de aati lekin me aap k liye galawat k kabaab paka rahi hun,plz.de aaein na.,,
galawat k kabaab Ahmad ko bohat pasand thay,wo jhat se uth gaey.istiri ki hui shalwaar qameez tabdeel ki oor chal diye.
me sakht becheni k aalam me un ki aamad ki muntazir thi.aur jaldi jaldi kaam nimta rahi thi.lekin sara dhiyaan kisi aur hi taraf tha.kabaab damm pe rakh k me ne chapatiyan bhi pakalein.aur saleeqey se table saja rahi thi k Ahmad aa'gaey.merey dil me shadeed khud budh horahi thi.wo haath dho k kursi ghaseet k beth gaey oor intehaai raghbat se galawat k kabaab khatey huey unhon ne maira haath pakar k mujhey bhi kursi pe bitha diya.
,,towba towba Irum,ajeeb hi nazara in gunah gaar aankhon ne dekha.,,
dil me pehli phul jhari chooti.
,,kiyun kiya huwa?,,me ne anjaan ban k poocha.
,,me ne bell di to aik chimrakh aurat ne darwaza khola.qasam se bilkul bhutni lag rahi thi.aur mujhey dekhtey hi bowkhla gai.me ne intehai tameez se kaha.ji mrs.Sarosh k liye meri wife ne mithaai bhijwai he.,,(hansi ki phuwaar merey ander barsi) to bolein.,,Ahmad bhai aap ander to aaein,aaein na plz,,phir bowkhlai hui awaaz nikli to me plate samait ander chala gaya.
,,ghar tha k kabaar khana,har taraf kapron k dhear,pletein sofon k neechey se jhaank rahi thein.aik meri airhi taley kuchli gai-yaar Irum,yaqeen karo,wo chimrakh mrs.Sarosh niklein.,,
me uchal si pari.aankhon me jitni gunjaaish thi,utna un ko herat se pheala k boli.,,haaey Allah waqai?,,
,,han han bhai,qasam le lo,me bilkul sach keh raha hun.,,unhon ne aik or niwala moon me daala,oor pani ka ghoont bhara.aaj achanak chapa jo para to sari haqeeqat pata chal gai.
,,ghar ki easi halat ho rahi thi k samajh me nahi aa raha tha k kahan plate rakhun,kahan qadam rakhun aur kahan khud ko rakhun.,,Ahmad musalsal bol rahey thay aur me halki phulki si hoti hui dil chaspi se un ka tabsira sun rahi thi.
,,phir merey liye do phapoond zada kabaab or jushandey numa chaey le aaein,ab meri samajh me aaya k becharey Sarosh sahib Saudia kiyun bhaag gaey,na moo'n na mathaa wo becharey bhi easey hi phapoond zada khano k shikaar hon ge.uffo kiya doghli aurat he,bahar to kesi teep top se rehti he,ithlati phirti he aur me to bilkul pehchaan hi nahi saka tha,bari mushkil se pehchana.bagher make up k be had makruh chehra lag raha tha,aur aaj to bhanwein hi ghaeb thein,khushk chehrey pe jhurriyan si par rahi thein.bas ye samajh lo k horror film dekh k aa'raha hun,qasam le lo jo aik se doosri nazar uthi ho.tum saal bhar bhi moo'n na dhow,tab bhi achi hi lago gi.hamarey ghar ka to store bhi un k poorey ghar se ziyada saja huwa he,majaal he,light jaaey to koi cheez idher se udhar miley.haath andherey me bhi machis aur moombatti talaash kar letey hein,,Ahmad poori tawajoh se kha rahey thay aur meri taraf dekhey bagher boley chaley ja rahey thay.,,easi aurtein aurtein kehlaney ki mustahiq hi nahi,arey saleeqa to chu k nahi guzra,itni martaba tumharey paas aa'chuki hein,tum se hi kuch saleeqa seekh letein.mera to reh reh k Sarosh sahib ki bad naseebi pe dil dukh raha he.un ki amma ko ye hi bhutni mili thi apney betey k liye.me kai martaba Sarosh sahib se mil chuka hun,achey khasey khush shakal aur maaqool insaan hein aur suno,tum ko ziyada unhein moo'n laganey ki zaroorat nahi he.,Ahmad mustaqil mrs.Sarosh k phuhar paney,doghli shakhsiyat k mutaliq boley chaley jaa'rahey thay oor me khud ko hawa se bhi halka mehsoos kartey huey un ko meethi meethi nazron se dekh rahi thi k Ahmad bhala kiya janein k showher k moo'n se doosri aurat ki burai kitni bhali maloom hoti he---ye koi ham aurton se poochey,me uth khari hui,,,
,,ab tum kahan chal dein?,,
,,me zara maasi se keh dun,poncha na lagaey,aaj se poncha me khud lagaya karun gi.,,me ne muskura kar dekha,Ahmad k haath se niwaala choot gaya tha.