01-07-2007, 09:37 AM
~*Do Boond Ka Samandar*~
mujhey samndar bohat kashish karta tha...taa hadh e nigaah pheyla hua
samandar...jis k wajood ka thehraou aur gehrayi issey pur israr aur mashoor kun banatey
hain....aur iska tilatum aur iski lehron ka bar bar saahil sey milna bicharna
iski wehshat ko zaahir karta hey....
sabhi daastaan go bhi apni dastaaNon main isey do tarah sey hi byan kartey rahey...
ya to iska pur israr thehroau ya iski wehshat zadah lehron ka saahil sey milna bicharna...
janey kyun koyi bhi nigaah samnadar ko iss hadh sey aagey na paa saki...
main samandar ko likhney beythi to main ney aik raaz jana aur isey aik kaghaz par likh
kar samandar ki nazar kar dia....
main ney likha...
"samandar kuch nahi sivaye do boond k...:
aik boond wo jo kisi k khushk labon ki piyas mita kar amar ho jaye...
aur aik wo jo seep main dhal kar mouti ban jaye....
warna mehz zyaaN k siva kuch bhi nahi...."
Zindagee bhi mujhey bohat kashish karti thi...main ney zindagee ko parhna shuroo kia to
main ney jana...zindagee bhi hashar khaiz tilatum,millan,judayee....aur sakoot
sey ibarat hey bilkul samandar ki tarah....
main ney aaj phir chand hurf likhey...aur "zindagee" k hawaley kar rahi hoon...
main ney likha hey....
"zindagee bhi bas do boond ka samandar thehri...:
aik wo jo RAB k liye kisi k aansoo poonch kar guzari jaye...
aur aik wo jo RAB k khouf sey apney aansoo poonchtey guzari jaye....
warna mehaz zyaaN k siva kuch bhi nahi...."
![[Image: doboond1jpg6oh.jpg]](http://img473.imageshack.us/img473/4196/doboond1jpg6oh.jpg)
![[Image: doboond2jpg3lq.jpg]](http://img473.imageshack.us/img473/7652/doboond2jpg3lq.jpg)