03-19-2006, 03:29 PM
----Mousam---
[INDENT]Kal mehfil mein baray dheemay lehjay mein sard hotay mousam ke baat chiree... mujhay tu sard hotay lehjoon say dar lagtta hai... !!
Par yeah jo dil kay mousam hain na jin ke khabar tumhein shahar ke hawaoon daiteen hain aur tum sab sach maan laiti hoo.. kaya kabhi socha dil kay mousam bahir kay mousam say hum ahang nahi ho'tay..
...Pichlay baras mousam e gul mein hum nay khaar kaatay thai.. ab kay baras.. khizaan rut mein aas e bahar liyeah baithay hain..
Dil kay mousam bhala kab moa'tbar howa kartay hain.. !![/INDENT]
~** .................................................... **~
----Pichlay Baras---
----Pichlay Baras---
[INDENT]Pichlay baras mein nay bhi kitaaboon mein gulaab rakhay thai.. kabhi kissi kay aa'riz ko choo kay.. tu kabhi kissi kay hontoon say chura kay shabnam.. mein aaj bhi un lamhoon ke dharkan sun raha hoon... kabhi jo fursat millay saans lainay ke.. ban kay khushboo wajood mein utar jaatay hain.... kabhi khooloon jo yaadoon ke sayaahi say likhi yeah kitaab... aur hoo jaoon baychain kay parhoon koi warq... sab harf hee beetay lamhoon ke hidat say angar hoonay lagta hai.... haath rakh doon jo guzray kissi khawb pay kabhi... ban kay shulla mujh ko hee jalla daita hai.. perhna chahoon kay kahani ka unwaan tha kaya... sarwarq pay phaili nadamat ke sayaahi nazar aati hai.. aur woh jisay mein apni mohabbat kaha karta tha.. door khari mujhee pay hansti nazar aati hai.. !
Janay kis nay pichlay baras mairi kitaboon mein azaab rakhay thai.. ![/INDENT]
~** ................................................. **~