03-08-2006, 07:09 AM
Mujhe WO Khat Main Likhta Tha
tumhain main yaad karta hoon
tumhaari yaad main jahaa.n
subha sey shaam karta hoon
main apna raat din sab kuch
tumharey naam karta hoon
mujhe wo khat main likhta tha
mujhe wo khat main likhta tha
tumhaari shabnami aankhain
mujhe be-hud satati hain
ye khwaboon main merey aa k
mujhe sapney dikhaati hai
rulati hain, jagaati hai
mujhe har pal satati hain
mujhe wo khat main likhta tha
mujhe wo khat main likhta tha
tumharey hont jaan-e jaa.n
jo aksar chup sey rehtey they
zubaan-e be-zubani main magar
sab kuch hi kehtey they
kabhi tareef apni sun k wo
dherey sey hans partey
kabhi hairat sey waa hotey
tu main bas dekhta rehta
mujhe wo saarey pal hi jaan-ejaa.n
ab yaad aatey hain
mujhe wo khat main likhta tha
tumharey narm haathoo.n ki main hid'dat ko
kabhi shaane, kabhi mathey
kabhi hontoo.n, kabhi khud apney chehrey
per main ab mehsoos karta hoon
main ab bhi tera ratoo.n main
tumharey lams ki hid'dat ko
shid'dat sey bohat mehsoos karta hoon
mujhe wo khat main likhta tha
magar ik baat hai phir bhi
mujhe wo khat jo likhta tha
wo aksar rastey main hi
kahee.n pe ghum they ho jatey
mujhe wo mil nahi patey
magar
mujh ko yaqee.n hai wo
mujhe har khat main likhta tha
usey main yaad aati hon
bohat hi yaad aati hoon
-----------
Shagufta Basit
tumhain main yaad karta hoon
tumhaari yaad main jahaa.n
subha sey shaam karta hoon
main apna raat din sab kuch
tumharey naam karta hoon
mujhe wo khat main likhta tha
mujhe wo khat main likhta tha
tumhaari shabnami aankhain
mujhe be-hud satati hain
ye khwaboon main merey aa k
mujhe sapney dikhaati hai
rulati hain, jagaati hai
mujhe har pal satati hain
mujhe wo khat main likhta tha
mujhe wo khat main likhta tha
tumharey hont jaan-e jaa.n
jo aksar chup sey rehtey they
zubaan-e be-zubani main magar
sab kuch hi kehtey they
kabhi tareef apni sun k wo
dherey sey hans partey
kabhi hairat sey waa hotey
tu main bas dekhta rehta
mujhe wo saarey pal hi jaan-ejaa.n
ab yaad aatey hain
mujhe wo khat main likhta tha
tumharey narm haathoo.n ki main hid'dat ko
kabhi shaane, kabhi mathey
kabhi hontoo.n, kabhi khud apney chehrey
per main ab mehsoos karta hoon
main ab bhi tera ratoo.n main
tumharey lams ki hid'dat ko
shid'dat sey bohat mehsoos karta hoon
mujhe wo khat main likhta tha
magar ik baat hai phir bhi
mujhe wo khat jo likhta tha
wo aksar rastey main hi
kahee.n pe ghum they ho jatey
mujhe wo mil nahi patey
magar
mujh ko yaqee.n hai wo
mujhe har khat main likhta tha
usey main yaad aati hon
bohat hi yaad aati hoon
-----------
Shagufta Basit