09-15-2006, 05:02 AM
:aoa
Dosto aik english poem se mutaa'sir hoker aik taazaa nazam kahii hai ... Haazir e khidmat hai ... Nazam thoRii taveel hai bardhaaSht kee jiay :rose

~*~ |Aakhrii Guftagoo| ~*~
fajr ka waqt tha darvaaze pe aayaa koi
Kaun aayaa hai yeg saa'il se kiya uss ne savaal
lamhaa guzraa tha naheiN kaanoN meN aawaaz paRii
Malakaul maut hooN darvaazaa zara khol apna
baat yeh sun kay zameeN pairoN se sarkii uss kay
thaa paseenay k samandar meN saraapaa Doobaa
bas isee haal meN puhnchaa hai woh zaujaa k qareeN
uss se kehta hai k mujhko tu bachaalay iss say
aur palaTker yeh kahaa rote huvay uss ne phir
Malakul maut tujhay waasta Allah ka hai
baKhShday jaan merii lauT jaa Maalik k paas
mere bachche, merii biiwii ko saNmbhaalega kaun?
bas maiN ik aur hee mauqe ka talabgaar hooN ab
Malakul maut ne phir se hai kiya dak.ul.baab
uss pareeshaan se bande ko woh samjhaane lagaa
jism meN rooh jo tere hai yeh paa'ii jaatii
hai amaanat tere Allah ki mat bhoolna yeh
apni marzii se fariShtaa naheiN jaataa dar dar
marzii-e.Rab se tere dar peh meN aayaa hooN aaj
Yeh khabar sun kay bohot dair thaa royaa woh ShaKhs
rote rote woh bayaaN kernay lagaa dil kii baat
Malakul maut mujhay maut se Dar lagtaa hai
maiN teri gaud meN dunyaa k khazaane rakh dooN
aaj se teri GHulaamii meN jeeooNga maiN to
dhool qadmoN ki tere dhokay peeooNga maiN to
uss fariShtay ne muhabbat se phir ik baar kaha
waqt hai ab bhii k andar tu mujhay aane day
dekh kehta hooN jo andar naheiN aane dayga
toRker ghar ka yeh darvaazaa chalaa aaooNga
ghar meN aate hee fariShte ne yeh manzar dekha
haath meN pakRe woh bandooq khaRaa hai buzdil
kaaNmte haath se bandooq fariShte ki taraf
ker k kehta thaa qareeN mere naheiN aanaa tu
uss kii naadaani peh yeh hans k fariShtaa bolaa
tu samajhta hai k dhamkii se Daraa dayga mujhay?
aslahaa kaam fariShton meN naheiN kerta hai
saamne rab jhukaa'ayga agar apna sar
rooh aaraam se phir tan se nikal paa'aygii
mujhko batlaa k tujhay khauf hai kiss baat ka ab
apne Maalik ki taraf lauTkay jaataa hai tu
aay fariShte tujhay batlaata hooN kyuN Dartaa hooN
SHarm aatee hai mujhay kehte huvay tujhse yeh
naam Allah ka ik baar bhii lay paaya naheiN
subh se shaam talak maiN ne kamaa'ii daulat
tandurustii ka bhi hargiz na rakhaa maiN ne khayaal
maiN Khudawand k ehkaam se bhii door raha
zandgii bhar meN kabhii bhi na paRii maiN ne Namaaz
Maah-e Ramzaan meN roze na rakhe maiN ne kabhii
log "Al Haaj" pukaaraiN yeh tamanna thi magar
thaa junooN aur bhii paisa hai kamaanaa mujhko
waastaa tujhko Khudaa ka hai dua sunlay merii
saal do saal mujhay aur tu jeelaynay day
paak QuraaN ki tilaavat maiN shuruu kerdooNga
aik hee baar sahii Haj bhi kerooNga pooraa
roze mujhper jo haiN vaajib woh rakhooNga poore
maiN ghareeboN meN taqseem kerooNga daulat
aaj se khums nikaalooNga yeh waadaa hai mera
Malakul maut ne yeh arz sunii phir yeh kahaa
maut her aik kii qismat meN likhii hai aasii
chaahe woh baap ho, maader ho ke bayTaa bayTii
maiN samajh sakta hooN kiss baat se Dartaa hai tu
faa'idaa aansoo bahaane se naheiN koi bhi ab
tu jeeaa hai to faQat paisa kamaane k liay
aik se aik mehel apna banaabe k liay
tu ne maaN baap ki izzat bhi kabhii kee hee naheiN
naa kabhii tu ne ghareeboN ko khilaayaa khaanaa
baawajood iss k musalmaan banaataa sab ko
teri aulaad he iss deen k qaabil na rahii
tu ne Quraan sajaavaT k liay ghar meN rakhaa
umr bhar jhooT hee ka layka sahaaraa tu jiaa
Malakul maut mera aaKhrii tujhse hai savaal
kya musalmaan har ik jaata hai jannat meN bataa?
hHans kay bola k tera daaKhila jannat meN naheiN
vaaste tere jhannum k haiN darvaaze khulay
zindagii bhar ki tujhay dee thi khuda ne mohlat
waqt ab lauTkay jaane ka tere aayaa hai
aik dam roke jo bister se uThaa woh banda
jism meN zuaf sa mehsoos kiya uss ne aur
ho kay be.jaan zameeN peh woh giraa muNh k bal ...
Qassim Mirza Ali :Qassim: