03-19-2006, 08:20 PM
Suno ! tumhaari zaat main itna sokoon kiyu hay ? Tum waqaai itni mazboot ho ya be-hiss ?..........main nay chonk k us ki janib dekha tu shid'dat-e jazbaat sey uska chehra surkh howa wa tha aur shola baar aankahin merey chashmey k peechey meri aankhoon ko parhney ki justuju main theen
"hmm main behis hoon, .... koi aitaraz ?"main nay qadrey sapaat lehjey main kaha.
"nahi..... main koun hota hoon aitaraaz karne wala...... per mar jao gi larki... mar jao gi be-mout.... jo loug khud ko pather samajhney lagtey hain na! loug un sey sar nahi takratey apna.... thokar maar k guzar jatey hain"
"Insaan thokarain kha k hi kuch seekhta hay"
"per thokarain muqadder ho gaeen tu ?"
"tum sey madad nahi mangoo.n gi... be-fikr raho."
" main maddad karoon ga bhi nahi... be-fikr raho.... patharoon sey sar phorne ka na mujhe koi shouq hay na hi sakat"
us ki is baat pe main be sakhta muskura uthi... wahan sey wapis chali aai apni pindaar k saharey ...... per aik sher rasta bhar bazgasht ki tarha gonjta raha

pather mujhe kehta hay mera chahney wala
main moum hoon us nay mujhe cho kar nahi dekha