03-19-2006, 08:15 PM
bohat khush gumaani thi mujhe k main duniya k khush qismat tareen shakhs hon jise sab dost hi bohat achey mile.....per waqt nay is khush fehmi ko bhi khatam kar dya...kutch bohat aziz dostoo.n k rawiyoon k naam ye tehreer.........
zindagi.....pata nahi kaisa moamma hay jo sulajh k nahi deta.... kabhi khushi tu kabhi ghum....kabhi kin min kin min mohabbat ki phowar tu kabhi haqarat o nafrat ki atah gehraai....zindagi mehaz zindaa.n hay.... sari umr begaar hay...kitne hi log milte hain zindagi main..... kitne hi rishte buntey hain hum...pori chah sey...pore kholoos sey...per sab gharz k dhanni.....koi kisi ka nahi hay....log aatey hain bare bare dawe karte hain..... jab tak aap k saath jab tak sukh aap k saath zara dukh nay haath barhaya nahi aap ki taraf wo haath chura k nikal letey hain.....
sunte thay "k jaisi karni waisi bharni" per kabhi kabhi aisa bhi tu hota hay na jo aap karte nahi us ki saza bhi aap ko milti hay.... per aisa kabhi kabhi nahi balke aksar hi hota hay..... log apni tohmatain aap k sar thonp k apni rah ley letey hain.... khud ko phans bhi chubhe tu log aho baka karte hain aur dosroon ko raiza raiza karte pal bhi ye nahi sochtey k dosre bhi zinda jeete jee insaan hain ...seene main dill tu un k bhi dharakta hay ..... lahje tu un ki roh ko bhi chaidte hain.... ansoo agar bahar nahi tapakne detey zaat ki pindaar ki khatir tu kya under bhi shanti hay..... jo bazahir muskurate chehrey hotey hain ....un k anso qatra qatra tor daltey hain unhain under sey.....aik hawa k jhonke sey bhurbhuri rait ki manind dhe jaya karte hain aise log..... aur wo log jinhoon nay khaak kar dya hota hay kisi ko wo usi khaak ko qadmoo.n tale rondhte howe apni rah ley letey hain...... zaat ka bharam rone nahi deta aur lehjoon ka ata karda zakhm jene nahi deta..kya kejeye aise main... khud sey kinara k sab sey ..........