03-19-2006, 07:22 PM
Kahtey hian k insaan moashrati haiwaan hay... mo'ashra fard k baghair aur fard mo'asher k baghair udhora hay... udhore.. udhorey tu hum tamam umr hi rehtey hian.. is moa'ashre is moa'ashrey k logoon k bech rehtye howe bhi......balke mera khayyal hay is udhore pan ka sabab bhi yehi moa'shra hay is moa'ashre sey wabasta chand riwayaat, in k afraad sey mansoon chand hikayaat... Aap baras ha baras zinda rehtey hain per chand lamhe bhi jee nahi pate... dill adatan dharakta hay... sansain mamool k mutabiq aati hain... per wo jo roh ki tazgi tamaniyat hoti hay wo pata nahi koun, kab kaise salb kar leta hay... kitna muzhika khaiz hay na k aap khud apni zindagi nahi jee pate hatta k aik pal bhi nahi apni khwahish apni chah k mutabiq aap k paas apne leye...
rishtoo.n ki zanjeer ki aik aik kari har har uth'tey qadam ki rah main hail hoti jati hay...kutch ahsanaat jo aap per aap k piyaroon k hotey hain kante ban ban daman ko lapaktey hian... zindagi wo apni gum-shuda zindagi kaheen dorr ufaq k paar gehrey badloo.n ki ot sey pal bhi ko chab dikhati hay aur chup jati hay... khush gumaniyoon k falak pe jhilmilati tu hay per pohanch sey bohat dorr... aap zindaggi k jugnu ko muthi main qaid karne ki sa'ai karain bhi tu bekaar..k zindagi ka musalsal begaar wajood ko maflooj kar hi chuka hota hay... wo aik nanhi si jeene ki khwahish jee main hi reh jaati hay.. saari zindagi aik aik pal log aap ki zindagi jetey hain aur aap un ko jeeta dekh k mutmain rehtey hain ya kum az kum khud ko mutamin hone ka fareeb tu detety hi hain....
per wo aik nanhi si muthi main band khwahish ... wo aik pal jee lene ki khwahish jee main hi reh jaati hay...