03-19-2006, 08:12 PM
Chodwee.n ki raat thi.... chand apni pori aab o taab k saath assman per maghroor haseena ki tarha dheraj dheraj chal raha tha... k goya zara jo taiz rawi dikhaai tu paoon main moch na aa jay.... chand hamesha sey hi meri kumzori raha hay.... chand ko takna aur be takaan taktey rehna mera passadeeda mashghala raha hay .... bachpan main chandi raat ko zameen pe parne wale saay ko qadmoon tale rondne ko khoob bhaga karti thi per wo saya kabhi dastaras main aa hi na saka..... chand ki mad hosh kar dene wali chandni main apne saay sey guftugu karna bhi anokha hi kaam hota hay....
chand, samander aur dewanoo ka saath... scienci wojohaat tu jo bhi rahi hoon humain us sey kiya lena dena per aik baat tenoo main mushtark hay tenoo.n janooni hotey hain.... samander jab apni taqat k ghumand main hota hay tu sab khaakaster kar deta hay.... chand jab apne husn k guror main hota hay tu bazahir apni thandi chandni sey kaioo.n ka tan badan sulga deta hay... aur dewana jab apni dewangi ki miraaj pe hota hay tu apni hi aag main khud ko bhasm kar leta hay...
humari aik dost theen wo humarey Insha Jee aur Chand sey ishq pe hamesha nalaa.n rehteen theen... Insha ki mout pe shukar baja lateen aur chand pe khoob daagh lagateen.... kal un sey baat ho rahi thi tu hum nay bataya k khirki kholo babhar jhanko chand aasman pe hay aur bohat haseen lag raha hay ... tu kehne lageen k us pather k tokrey main husn tumhain dikhta ho ga mujhe nahi ....
bas us waqt sey socha aur bohat socha k kya chand mehz pather ka tokra hay ? jisey shairoon nay dewanoo nay kya sey kya banaya howa hay... per akhir is soch pe pohanchey k yahan aadat hi hay logoon ko dosroon k aib aam karne ki... dosroon main zara si kami hazaar ha gunah bari dikhti hay aur apni....... ya yoon kaheye k hum mizajan aise hain k hum sey kisi ki achaii bardasht hi nahi hoti ... per kyu?