03-19-2006, 08:18 PM
AOA.... adab sey mujh jaise beadboo ka talouq tu waise bhi nahi per ye khalisatan be-adabi tehreer bas kisi k leye likha ya shaid apne leye ....bas jee ka bojh utarna maqsood tha shaid
-------------------------------------
kabhi tum nay socha k tumhare baghair main kitni akeli hon kitni tanha....... saath guzre teen saal ka aik aik lamha ankhoo.n main tehrne ki koshish karta hay per har aks dundhlata ja raha hay .... ashk hain k betaab hain khaak basr hone k leye.... kahtey hain k aise lamhe mubarak hotey hain in main neer bahana naik shagun nahi...... bas yehi soch k reh jaati hon..... tum sey bicharne ki ghari talwaar ki tarha sar pe latak rahi hay...... pata nahi kya ho... kuch keh bhi paon gi ya nahi........ ya hasb-e mamool be-maani si be-jaan hansi hans k tumhain wida kar doon gi......
tumhain pata nahi yaad rahe na rahe ... chalo aaj guzrey pal dohraate hain... wo sab pal jin main main shaad tu tum khsuh... tum dukhi tu main malool rahi.... yaar ye teen saal chabees baras sey zayada qeemti tehrey hain.... k aik aik guzra pal pallo sey bandhey bethi hon... gira na khooli aaj tak k bikhr na jain ye sab... per chalo aaj guzrey din dohrate hain k aane wali rutoon main shaid phir mouqa na mile....
tumhain abhi bhoola tu na ho ga wo library k peechey shaam dhale tak bethey rehna chup chaap.... apni apni soch main gum... aik dosrey sey zabaan-e bezabaani main duniya k kitne hi shikwe kya karte thay hum.... pata nahi koun si udaasi thi jo kabhi kabhi dono ko hi apni bahoo.n main lay leti thi... yaad hay hum wahan tu chup bethey rehtye per library main kitni baatain kya karte thay... aur wo kaala mota sa librarian hamesha hi hum sey na-laa.n rehta tha.... kitni baatain hoti then na humarey paas roz hi .... per pata nahi aab jab kabhi milein tu waqt takalluf na hail kar dey darmiyaan.... wo yaad hay jab hum class main register k peechey likh likh k khoob batain karte thay... aaj bhi wo registers merey paas hain is leye nahi k us main sir k lecture hain balke is leye k us main bohat bewaqoofana baatain hain aur chand taswerain bhi jo hum nay sir ki banaeen theen.
ye soch soch k hi dill bethey jata hay k ab meri baatain koun samjhey ga... koun mujhe hansay ga.... wo yaad hay jab aksar hum dept k seerhiyoon pe bethey ane jane waloon pe tabsara kar rahe hotey thay tum achanak koi aisi baat kehteen k main besakhta hans parti... aur jis k barey main baat kahi hoti tum nay wo mujhe suna k chala jata aur tum maze sey naqaab k peechey khi khi karteen rehteen........ kitni hi baatain hain yake baad degey yaad ka kiwaar khule jhaank rahi hian.... laboon pe muskurahat bikhr rahi hay... per dill main kaheen kuch kho jane ka ahsaas hay....
aur kya kya likhoo.n bohat kuch hay likhne ko bohat kuch hay dohrane ko per chalo phir kabhi sahi zindagi nay wafa ki saansain aati jaateen raheen tu mil k karain gai yaad un tammam pal ko jo bohat yaad aa rahey hain aaj........ tum nay jana tha tum jaoon gi aur shaid bohat juld bhool bhi jao k koi tumhaari dost thi nihaayat ahmaq si... pagal si... chalo bhool hi jana k yaadain mehz qarb ata karti hian
jahan raho bohat bohat khush raho... itna khush k jis ka tasawer bhi na kya ho kabhi tum nay.... khuda tumhraai har arzo pori karay ameen summa ameen