03-19-2006, 08:22 PM
Hawa saktey k alam main hai... majaal hai k koi patta idher sey udher junbish bhi kar ley..... chand din pehley tak fiza main mojood khunki jo ragoo.n main dortey lahu ko munjamid karti thi, Khuda janey kahan mafqood ho gai hai... ajab habs ka alam hai... kehtey hain k mousam-e bahaar ki amad hai per humain tu door dorr tak bahaar ki aik bhi nishaani nahi milti..... mousamoo main mujhe na garmi passand hai na sardi, na khizaa.n na bahaar..... bas mohabbat ka mousam passand hai... sar per saya-e yaar ho tu phir karakti dhoop parey k oley koi parwah nahi....
is garmi ki ibtada mujhe tu intaha maloom hoti hai.... sahid mousam itna na badla ho k sab yehi baar awar karne pe tuley howe hain.... per jab aap k sar per hijar ka soraj sawa neezey pe ho tu kya tan badan tanhaai ki aag main nahi sulga kartey....
tanhaai bhi ajab cheez hai bal k ajab rog hai... jis ko aik baar lag jai jaan hi nahi chorta ... laakh jatan kar daleye per kuch na ho hasil ..... aaj sey chand baras pehley .... awakhir-e bachpan tha shaid jab masoomiyat ki pagdandi per main mast alast chali ja rahi thi .... achanak kaheen sey tanhaai nikli aur merey saath saath pagdandi per chalney lagi... jahan main jati waheen wo jaati .... jahan merey qadam thamtey wo bhi tham jati aur patter patter palkain jhapkaa meriu janib dekhti .. kabhi main us sey nazar chura leti kabhi kan_ankhiyoo.n sey us ki janib dekhti tu usey apni samt hi dekhta paati... yoon us k husn nay mujhe mabhoot kar diya aur main us ki janib khinchti chali gaii.... shuru shuru main humari dosti itni zayada na thi per jaisey jaise umr pukhtagi k marahil te' karti gaii dosti bhi pukhta hoti chale gaii...
college main pohanch kar mujhe us ki dosti ki ash-hud zarorat mehsoos honey lagi ... jahan har taraf fashion ka thathey marta samander tha k jis ki ro' main har larki ka ro'm ro'm bhegha howa tha .. yahan koi shakal asli na thi.... behoda rangoo main lathrey intahaai masnoi chehrey makroh hansi k saath idher sey udher phirtey rehtey ...jahan kitaboo ko sar per rakh kar mehez dhoop sey make up kharab na hone ka kaam lya jata tha .......... wahan meri wahid dost tanhaai thi.... ghar aa kar bhi jab main is k pallo sey chipki rehti tu amma tinak jateen..... bara samjhateen k is ki sangat chor do per main aik na sunti tu nana jaan sey shikayat kar deteen wo barey dulaar sey apney saath lagatey aur kehtey
"Kiya milta hai Beta?"
main kehti," Sokoon"
wo kehtey," HUmarey paas nahi milta"
tu main kajhal si ho jaya karti,.... baar haa sochti aur koshish bhi karti k ab is k saath nahi rehna per wo khud aan dhamkti tu main kiya karti.... per aahista aahista khud ko masroof bal k intahaai masroof kar k main is sey jaan churaney ki koshish karney lagii .... kisi hud tak kamyaab bhi ho gaii ... pe aaj... Aaj phir na janey kahan sey munh utha k chali aai hai ye ... pattar pattar palkain jhapkaay mujhe dekhey ja rahi hai .... laboo pe pur-israar si muskurahat hai ... jo mujhe khouf zada keye dey rahi hai.... yoon lagta hai ye aik dam mujh pe jhapatta maarey gi aur merey dill ko apni muthi main ley ley gii ...... meri muskurahat ko merey laboo sey noch k kaheen door phaink dey gi .,.... main nay aik baar phir is sey nazar churana chaha ... qadam wapsi ka irada kar k utey hi tey k nazar palti............ aur main nay usey seeney sey laga liya ,... us nay apney mazboot shikanjey main merey doltey howe wojood ko sahaar liya ,..... k akhir ko bachpan ki saheeli thi ..........................................
Shagufta Basit
Feb 9th, 2006.