03-19-2006, 08:05 PM
usey pehli baar main nay apni cousin k ghar dekha tha ... aur wo pehli nazar main hi mujhe acha laga tha .... mera bhanja jo k um'r main mujh sey koi do chaar saal chota hai us ka dost tha .... jab dekha usey usi k saath mehv-e guftugu dekha ... meri samajh nahi ata tha k akhir aisi koun si baatain hain jo in ki khatam hi nahi hoteen .... owais nay kaheen jana hota tu wo saath jata .... owais nay khana khana tu wo saath ... owais nay parhna ho tu wo saath .... mujhe un ki is dosti pe rashk aata ... aur bohat aaata ....
meri kabhi barah-e rast us sey baat nahi hoi thi ... go k amna samna hazaar ha baar howa ho ga .... aik din kisi kaam sey un k ghar jana howa tu usey TV dekhtey paya ... bari hi mehviyat sey wo news dekh raha tha ... main samney hi sofe pe beth gaii ... aur be-dili sey idher udher nazarain doraney lagi ... k mujhe achanak ehsaas howa k kisi ki nasar ka hisaar mujh pe tang hota ja raha hai ... main nay nazar utha k us ki janib dekha tu wo mujhe hi dekh raha tha ... lambi ghaneri palkoo.n k saay taley do intahaai chamak-daar aankhain mujhe gorne main masroof thee.n ... itni chamak-daar aankhain main nay pehley kabhi na dekhee.n thee.n ... khoobsurat aankhai.n na janey kyu hamesha mujhe apni janib khainchti mehsoos hoti hain .... chehrey pe bala ki masomiyat thi ... aik lamhey ko jee chaha k agey barh k usey seeney sey laga loon... aik bosa us k mathey pe sabt kar doon ... per agley hi lamhey dar gai k kahee.n jo us ki maa aa gaii tu mujhe tu zinda na chorey gi ... us nay dehrey sey halki halki monchoo.n k neechey sey apney hont kholey aur na-janey kiya kaha ... meri kuch samajh na aa saka ... us nay dobara kutch kaha .... main sun'ney k leye agey ki janib jhuki hi thi k owais aa gaya ....
"Khala jaani kaisa laga mera dost ?" owais nay us k saath beth'tey howe pocha
" bohat khoobsurat hai ... akhir ko merey bhanjey ka jo dost hai " main nay muskura k kaha
us nay phir kuch bola
.." abhi aya khala .. isey bhook lagi hai .. is k dodh peeney ka waqt hai na ye " ye kehtey howe owais nay us makhmal ki khaal waley khoobsurat massom sey safaid biili k bachey ko bazoo.n main bhara aur bawarchi khane ki janib chal para ...........
:zpghh :zpghh