Sathiyaaa hoo sathhiyaa
ishq be dardi mujh ko pata hai
iski chahat me milti saza hai
be qarari me mar hi na jaaun
na samajh ko mai kesey samjhaun
dil hai k manta nahi hai
bechain janta nahi hai
mai karoo kya bata saathiyaa hoo...
tosey naina laage piya sanwar
nahi bas me ab ye jiya sanwar
muhabbat to ek jaavidaan zindagi hai
tosey naina laagey meri roshni
tosey man jo laga meri zindagi...
shama ko pighalne ka armaan kyu hai
patangey ko jalne ka armaan kyu hai
isi shouq ka imtehaan zindagi hai
muhabbat jisey bakhsh dey zindagani
nahi mout par khatm uski kahani
muhabbat to ek javidaan zindagi hai
kese jiyaa jaaye...
nahi koi insaan muhabbat se khali
har ek rooh piyaasi har ek dil sawali
muhabbat jahan hai wahan zindagi hai
muhabbat na ho to kahan zindagi hai