05-20-2010, 11:23 AM
Yasmin Ahmad Wrote:Zain bohat meharbani jo app ne ye silsla start kia hia..............khush rahian
gham.................12
khushi...........212
phool............212
shukriya Yasmin,
i m so sorry,choonke aaj kal Pakistan main hooN to yahaaN aa ke ziyada time naheeN de pa raha,lekin kheir........
gham.........is main 2 haroof istamaal huye haiN, "ghein +meem", pehla harf harkat maiN hai,yehni us par zabar hai,jabke doosara harf "meem" saakin.aor donoN mil kar 1 hi aawaaz detey haiN,jissey lambi aawaaz kaheiN ge,lambi aawaaz ko ham 2 se zaahir kartey haiN, yehni lafz "gham" ka wazn 2 hai.

issi tarah,.........
khushee = khu=1, shee=2, khu+shee= 12 ( is main "khey" ke baad ki wao apni koyi awaaz naheeN deti,yeni sirf khey par peish hi ki aawaaz aati hai,is liye yeh wao taqtee main shumaar naheeN hoti,

phool, phoo=2, l=1, phoo+l =21