06-26-2007, 10:48 PM
Page 2
Aik Doosray Ko Daikhay Bina Hi Unho'n Nay Aik Doosray Ki Bato'n Say Is Had Tak Aik Doosray Ko Jaan Liya Tha Kay Khoobsurti, Bad'Soorti Ab Un Kay Liye Koi Aehmiyat Na Rakhti Thi...Unhai'n Aik Doosray Ki Seerat Say Deewangi Ki Had Tak Pyar Ho Gaya Tha...
Jibran Kay Taqazay Ab Barhtay Chalay Ja Rahay Thay... Woh Ab Sana Say Milna Chahta Tha, Usay Daikhna Owr Hamaisha Kay Liye Apnana Chahta Tha...Sana Ki Bhi Dili Khuahish Yahi Thi Laikin Woh Mazeed Jhoot Bol Bol Kay Usay Taalti Rahi, Us Ki Samajh Mai'n Na Aata Tha Kay Woh Karay To Kiya Karay?
Woh Jibran Ko Khonay Kay Khayal Say Apnay Bolay Jhoot Nibhati Chali Gai Kay Jibran Ko Agar Pata Chal Gaya Kay Mai'n Nay Jhoot Ka Sahara Liya Hay To Woh Mujhay Chowr Day Ga...
Judai Ka Khayal Her Khayal Par Is Tarha Hawi Ho Jata Kay Woh Andhi Ho Jati...Jibran Ka Mobile Number Us Kay Dil.O.Dimagh Mai'n Mehfooz Tha Laikin Woh Phone Kartay Darti Thi Kay Ghar Walo'n Ko Pata Chal Gaya To Qayamat Aa Jaey Gi...
Sana Kay Liye Poori Kaenaat Computar Mai'n Samaai Hui Thi Kay Achanak Us Ka Computer Kharab Ho Gaya...Sana Ki To Jaan Par Hi Ban Aai...Computer Theek Honay Chala Gaya To Jibran Say Raabtay Ka Zaria Khatam Ho Gaya...
Jibran Say Lamha Bhar Ki Judai Us Kay Liye Suhaan-e-Rooh Thi... Us Ki Samajh Mai'n Na Aata Tha Kay Karay To Kiya Karay?...
Aakhir Kaar Us Nay Himmat Ki Owr Ghar Mai'n Kaam Karnay Wali Mulazima Ko Paiso'n Ka Lalach Day Kar Kisi Na Kisi Tarha Ghar Say Nikal Khari Hui...Sarak Par Chaltay Huway Usay Ird Gird Ka Koi Hosh Na Tha...Jibran Kay Khayalo'n Mai'n Khoi... Woh Chalti Rahi... Ghar Say Qareeb Aik P.C.O Say Us Nay Jibran Ko Ph. Kiya...
Jibran Ki Awaaz Suntay Huway Us Ka Sara Dar.O.Khof Jata Raha...Dil Chahta Tha Kay Yeh Awaaz Isi Tarha Us Kay Kano'n Mai'n Goonjti Rahay...Jibran Usay Tasalli Daita Raha Kay Pareshan Na Ho Computer Jald Theek Ho Jaey Ga...Jab Kay Sana Say Raabtay Kay Baghair Jibran Ka Apna Bura Haal Tha...Jibran Nay Hi Usay Samjhaya Kay Dair Ho Gai Hay Tum Ghar Jao Warna Ghar Walo'n Ko Shak Ho Jaey Ga...
Sana Jaisay Khuaab Say Jaagi...Jibran Say Baat Karnay Ki Khushi Par Ghar Walo'n Ka Khowf Hawi Honay Laga To Woh Jaldi Say Ph. Rakh Kay P.C.O Kay Larkay Ko Baghair Ginay Paisay Day Kar Bahar Nikal Aai...
Apni Hi Dhun Mai'n Woh Taqreeban Bhaagti Hui Ghar Ki Taraf Barh Rahi Thi Kay Aik Taiz Raftaar Car Say Us Ka Buri Tarha Accident Ho Gaya... Usi Car Walay Nay Usay Hospital Pohncha Kay Sana Say Phone Number Lay Kay Us Kay Ghar Walo'n Ko Ittila Di...
Sana Kay Ghutnay Is Haadsay Mai'n Buri Tarha Majrooh Huway Thay Jin Ka Doctors Ko Fowri Towr Par Operation Karna Para...
Ghutno'n Kay Takleef Day Operation Kay Amal Say Guzarnay Kay Ba'Wajood Yeh Aehsaas Us Kay Hawaas Par Ghalib Tha Kay Woh Jibran Say Raabta Kis Tarha Karay?...Operation Ki Takleef Owr Jibran Say Doori Kay Aehsaas Nay Us Kay Hawaas Cheen Say Liye Thay...
Ghar Walo'n Kay Poochnay Par Us Nay Cheekh Cheekh Kar Khud Ko Kosna Shuru Kar Diya Kay Kaash Yeh Haadsa Mairi Jaan Lay Laita...Mai'n Kiyu'n Bach Gai? Mujhay Mar Janay Diya Hota...Us Par Junooni Kefiyat Tari Honay Lagi...Ghar Walo'n Kay Liye Sana Ka Yeh Roop Ajnabi Tha Woh Waqti Towr Par Khamosh Ho Gaey...
Ghar Walay Yahi Samjhay Kay Accident Owr Operation Sana Mai'n Tabdeeli Ka Baais Bana Hay...
Ghar Walo'n Kay Idher Udher Hotay Hi Sana Nay Jibran Ko Hospital Say Phone Kiya Laikin Is Haadsay Say La Ilm Hi Rakha...
Doctors Usay 10 Din Say Pehlay Chutti Dainay Par Aamada Na Thay Laikin Sana Nay Aik Hangama Khara Kar Diya...
Jibran Ki Mohabbat Owr Raabta Taqreeban Munqita Ho Janay Say Sana Sar Say Pair Talak Badal Kay Reh Gai Thi.. Daikhnay Walay Yaqeen Na Kartay Kay Yeh Wahi Darpok Si Sana Hay Jis Ki Awaaz Ba'Mushkil Nikalti Thi...
Ghar Walo'n Owr Doctors Ki Us Nay Aik Na Suni Owr Doctors Say Checkup Karwanay, Her Tarha Hidayaat Par Amal Ka Wada Kar Kay Teesray Din Ghar Aa Gai...In Teen Dino'n Mai'n Bhi Aik Minute Ka Hi Sahi Woh Phone Kar Kay Jibran Ki Aawaz Apni Rooh Mai'n Utar Zaroor Laiti...
Ghar Aai To Dil.O.Jaan Par Sarshari Si Cha Gai Kay Us Ka Computer Sahi Ho Gaya Tha...Us Ka Raabta Jibran Say Bahaal Ho Gaya Tha...
Taango'n Mai'n Uthti Shadeed Tareen Dard Ki Teeso'n Ko Apnay Ander Dabanay Ki Koshish Mai'n Woh Nidhaal Ho Ho Jati Laikin Uff Na Karti Kay Kahee'n Dobara Hospital Mai'n Admit Na Kar Diya Jaey...
Stiches Owr Half Plaster Say Jakri Tangai'n Zara Si Herkat Par Usay Dard Say Bayhaal Kar Daitee'n Jin Kay Liye Woh Kai Kai Baar Pain Killer Istimaal Karti...
Us Ki Daikh Bhaal Karnay Kay Liye Din Raat Ki Mulazima Alag Say Rakh Di Gai Thi...Jisay Woh Raat Ko Zabardasti Us Kay Cuarter Mai'n Bhaij Daiti...Owr Khud Computer On Kar Laiti...Tanghai'n Samnay Wali Kursi Par Rakh Kar Woh Ghalat Position Mai'n Baithi Jibran Say Saari Raat Batai'n Kiye Jati...
Jibran Ab Bhi Is Haadsay Say Bay'Khabar Tha...Sana Khush Thi Kay Us Kay Saath Yeh Haadsa Paish Aaya...Ghutno'n Mai'n Uthti Na Qabil-e-Bardasht Teesai'n Us Kay Dil.o.Dimagh Ko Sukoo'n Bakhshtee'n...
Jibran Say Jo Batai'n Posheeda Thee'n Un Ki Saza Us Nay Khud Ko Dainay Ka Faisla Kar Liya Tha...Woh Jo Jibran Kay Bina Saans Na Laiti Thi Us Nay Khud Ko Saza Suna Di Thi Kay Jibran Ki Zindagi Say Is Tarha Niklo Kay Woh Tum Say Nafrat Karnay Lagay...Tum Say Nafrat Hi Us Kay Jeenay Ka Sabab Banay Ga...Tum Say Nafrat Hi Kay Saharay Woh Yeh Sab Kuch Bhula Paey Ga...Sanbhalta Chala Jaey Ga...
Jibran Ko Woh Rafta Rafta Mayoosi Kay Samander Mai'n Dhakelnay Lagi...Umeed Kay Saath Saath Na Umeedi Ka Aehsaas Jibran Kay Dil.O.Dimagh Mai'n Shiddat Say Bithanay Lagi...
In Sab Marhalo'n Mai'n Us Ki Zaat Kirchiyo'n Ki Tarha Bikhar Kay Reh Gai...In Kirchiyo'n Nay Us Ki Rooh Tak Chalni Kar Di Thi...Laikin Usay Uff Kiye Baghair Apnay Jibran Ko Her Soorat Tootnay Say Bachana Tha...
Jibran Ko Tootnay Say Bachanay Kay Liye Woh Khud Toot'ti Rahi, Bikharti Rahi...
Jibran Jo Kay Pehlay Hi Mayoos Tha Ab Mazeed Mayoos Hota Chala Gaya...Usay Bhi Milan Na Mumkin Sa Nazar Aanay Laga ...Sana Kay Baghair Jibran Ki Halat Ghair Honay Lagti...Baaz Marhalo'n Par Sana Ki Himmat Jawab Dainay Lagti Owr Woh Phoot Phoot Kar Ronay Lagti Jin Mai'n Jibran Kay Aansu Bhi Shamil Ho Jatay...
Saari Saari Raat Ghalat Position Mai'n Baithnay Say Sana Ki Ghutno'n Kay Sath Sath Reerh Ki Haddi Bhi Buri Tarha Mutasir Ho Rahi Thi...Jis Ka Aehsaas Bhi Us Nay Jibran Ko Na Honay Diya...
Sirf Aik Martaba Aesa Huwa Tha Kay Baato'n Kay Dowran Pait Mai'n Dard Ka Bahana Kar Kay Woh 5 Minutes Kay Liye Bister Par Ja Laiti Thi...Jis Say Jibran Pareshan Ho Utha Tha...Sana Dobara Aa Kar Jibran Say Bato'n Mai'n Magan Ho Gai Thi Owr Apni Taraf Say Her Tarha Ka Itminaan Dila Chuki Thi...
Apni Zaat Ko Mukammal Faramosh Kiye Woh Us Din Ka Sabab Banati Chali Gai Jab Usay Jibran Ko Haqeeqat Is Tarha Batana Thi Kay Jibran Ki Shadeed Mohabbat Shadeed Nafrat Mai'n Badal Jaey...