05-06-2010, 08:05 AM
Basit Bhai
alam1
Ummeed hai ki aap bakheriyat hongen
aksar aisa hota hai ki hamari aankhein jo dekhti hai aur kaan jo sunte hain, woh aadhi baatein hoti hain. hum aksar puri bat dekhe bina, sune bina ya jane bina faisla kar lete hain ki humne jo bhi padha, dekha, suna ya jana woh hi pura sach hai.
hum kabhi bhi kisi baat ke pasmanzar ko nahi dekhte hain, jis bande se galti hui hai, us bande ki shuru se lekar galti hone tak ke waqt tak ke kirdar ko nahi dekhte hain, jabki humein kuchh bhi faisla karne se pahle in sab baton ko gaur se dekhna chahiye.
UW ya HG bakaul aapke ek ghar hai, aur ghar mein agar kisi se koi galti hoti hai tab uski galti sab ke samne lane se pahle, jis member se galti hui hai us se baat ki jati hai, ki humne yeh cheez dekhi hai ya humne yeh bat suni hai, is baat ke bare mein tum kya kahte ho / kahti ho.
jab aap ghar ke us fard ki bat se mutmain na hon tab aap phir ghar ke baki bade members se is masle par guftugu karte hain.
jab se yeh kainaat ka nizaam chala aa raha hai tab se aaj tak hamesha yeh hi hua hai ki galti karne wale se uski saza tazveez karne se pahle ek baar baat ki jati hai, aur jahan ek tarfa faisla kiya jata hai woh dictatorship hoti hai, ek ghar nahi hota hai.
aapne yahan is pasmanzar mein jo padha, jo dekha use hi pura sach maan liya, aur apni taraf se faisla kar liya, kam se kam aapko ek bar dreamss3 se baat to karni chaiye thi ki aisa kyon hua ?
aapne dreamss3 ke shuru se ab tak ke kirdar ko nahi dekha, aapne kabhi yeh gaur kiya hai ki ek normal user se kis taadad mein typing mistake hoti hai, aapse bhi typing mistake bahut si hui hongi, lekin kabhi aisa nahi hua hoga, jaise ki aapne kiya hai.
ghar ke bade hone ki wajah se aap par kuchh zyada hi zimmedari aati hai, aur ghar ko ghar banane ke liye zaroori hai sare member ko ek dusre par aitmad ho.
ek ashaar hai jo ki humein kafi pasand hai
hum bhi to makeen hain isi makan ke
gar ho sake to gintiyon mein shumar kar lena
aapne keyboard to kafi baar dekha hoga lekin ek bar phir zara gaur se keyboard ki last lines ko dekh len
![[Image: 2it6fcj.jpg]](http://i39.tinypic.com/2it6fcj.jpg)
ummed hai aapne last lines aur uske word ko gaur se dekha hoga
aur ab yeh phir se dekhein
main dresmss world main
chali gai thi ek ******** k liye
1 sec likhte hue agar galti se koi aur button press ho jaye to kya kya ho sakta hai, hum aapse yeh hi kahna chahte hain.
in future aap kabhi bhi kisi bhi baat ke liye ek tarafa faisla mat kariye, balki agle ki bhi bat suniye, use bhi apni safai ka mauka dijiye.
aapne ek chhoti si typing mistake ki wajah se ghar ke ek member ko kya se kya bana diya.
na jaane kis waqt ki talash mein yun chala tha ghar se
ki apne hi ghar mein ajnabi ho gaya hoon mein aakar
ummeed hai aap hamari baat ko samajhne ki koshish karengen.
:waoa
Khuda Hafiz