05-05-2010, 04:50 PM
:waoa Basit Bhai,
Umeed hai ki aap aur baki sare log bakheriyat hongen.
Bhai, hum aapse kuchh kahna chahte hain, aap in baaton par tavazzo den.
aap jante hain ki yeh insan jo hai na yeh to galtiyon ka putla hai, jab se insan ko banaya gaya hai yeh tab se galtiyan karta aa raha aur jab tak qayamat nahi aayegi tab yeh insan galtiyan karta rahega. galti karna to insan ki kamzori hai, agar insan se galti na ho to woh farishton mein shumar ho jaye.
aur aap yeh bhi jante hain ki agar kisi se koi galti ho jaye aur galti karne walo ko lage ki haan us se galti hui hai to use muaf kar dena chaiye, galti ko muaf karne walon ko :allah pasand farmate hain.
humein Islam ek bar aur sikhlata hai ki agar tum mein se kisi se koi galti ho jaye tab tum us bat par parda kar lo aur logon ke samne zahir mat karo jab tak us se koi sharai galti na hui ho, :allah ko woh bande bhi pasand hain, jo logon ki galtiyon ko chhupa lete hain.
hum aapse guzarish karenge ki aap kam se kam yeh post edit kar den aur woh post jahan yeh alfaz use kiye gaye hon use delete kar den.
yeh ek ghar hai ghar mein rahne walon se hi galti hoti hai tab ghar ke bade ka yeh farz hota hai ki woh galti par chhoton ko samjhaye aur baki logon ke samne uski galti ko zahir na hone de.
ummeed karte hain ki aap hamari baaton ko samajhne ki koshish karengen .
alam
:feeamanillah