07-24-2010, 01:12 PM
[B]Asslaam o Alaikum
Aadaab
aik taaza tarin ghazal kay saath hazir hooN
![[Image: attachment.php?attachmentid=9072]](http://forum.urduworld.com/attachment.php?attachmentid=9072)
GHAZAL
Chamakti dhoop ko aaNchal bna sako tau kaho
Kiran kiran ko jo sheetal bna sako tau kaho
Tere laboN pe hay sehraa ki gard ki chaadar
Jo meri aankh ko chhaagal bna sako tau kaho
Ye aarzu hay keh Khshbu hisaar ho maira
Joapni baaNhoN ko saNdal bna sako tau kaho
MaiN naNgay paaoN kiye jaaooN kirchiyoN pe safar
Jo raasta mera maKhmal bna sako tau kaho
Zra si lau hay jo is aarzu kay jugnu ki
Isi ki lau se jo mash'al bna sako tau kaho
Jo umr bhar ki shnasaai se nahiN mailta
MuhabatoN se woh ik pal bna sako tau kaho
Ujaal day dar-o-diwaar noor ki baarish
Agar sitaaroN ka baadal bna sako tau kaho
Hain sehmi sehmi si jo muskuraahataiN mairi
Kisi tarah inhaiN chaNchal bna sako tau kaho
Ye taiz dhoop badan ko na kaat kay rakh day
Mere khuloos ko peepal bna sako tau kaho
Saja lo saans maiN khush surKh WARD ki khushbu
Syaah WARD ko kaajal bna sako tau kaho
WARD BAZMI[/B]